Eid E Milad Un Nabi Hai Dil Bada Masroor Hai
Eid Dewaano Ki To 12 Rabi Un Noor Hai

Is Taraf Jo Noor Hai To Us Taraf Bhi Noor Hai
Zarra Zarra Sab Jahaan Ka Noor Se Ma’amoor Hai

Jashn E Milad Un Nabi Hai Kyun Na Jhoome Aaj Hum
Muskurati Hain Bahare Sab Faza Purnoor Hai

Har Malak Hai Shadman Khush Aaj Har Ek Hoor Hai
Haan Magar Shaitan Baham Rufka Bada Ranjoor Hai

Aamad E Sarkar Se Dil Mast Hoi Kafoor Hai
Kiya Zameen Kiya Aasman Har Samt Chaya Noor Hai

Gham Ke Badal Chat Gaye Har Gham Ka Maara Jhoom Utha
Aa Gaya Khushiyan Liye Mahe Rabi Un Noor Hai

Aamina Tujh Ko Mubarak Shah Ki Milad Ho
Tera Aangan Noor Balke Ghar Ka Ghar Sab Noor Hai

Bakhsh De Mujhko Ilahi Behre Milad Un Nabi
Naama E Aamaal Isya Se Mera Bharpoor Hai

Gumbad E Khazra Ka Usko Bhi Deedar Ho
Ya Ilahi Jo Madine Se Abhi Tak Door Hai

Hoon Ghulam E Mustafa Attaar Ka Dawa Hai Ye
Kash Aaqa Bhi Ye Farmayen Hume Manzoor Hai

Eid E Milad Un Nabi Hai Dil Bada Masroor Hai
Eid Dewaano Ki To 12 Rabi Un Noor Hai