Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja
Hind Mein Navve(90) Lakh Ko Kalma Padhwaya
Hum Par Hai Ehsaan Tumhara Ya Khwaja
Saara AnaSagar Kuze Mein Bhar Aaya
Sunte Hi Farmaan Tumhara Ya Khwaja
Aap Pe Hai Faizan Janab e Usman Ka
Hum Par Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja
Faiz e Madina Milta Hai Ajmer Se Hi
Roza Hai Zeeshan Tumhara Ya Khwaja
Rahe Sunni Dawat e Islami
Ye To Hai Faizan Tumhara Ya Khwaja
In Dono Per Khaas Karam Tum Farmana
Ahad Aur Riathuddin Tumhara Ya Khwaja
Syed Ko Taibah Ki Galiya Dikhla Do
Hai Adnaa Darban Tumhara Ya Khwaja
Delhi Rajasthan Tumhara Ya Khwaja
Saara Hindustan Tumhara Ya Khwaja