Jobano(n) per hai bahare chaman aaraaiye dost
Khuld ka naam na le bulbule shadaaiye dost
Thuk ke baithe to dare dil pe tamannaiye dost
Kaun se ghar ka ujaala nahi zaibaaiye dost
Arsaye hashr kuja mauqife Mahmood kuja
Saaz hungamo(n) se rakhti nahi(n) yaktaaiye dost
Mehr kis munh se jilou daariye jaana(n) karta
Saaye ke naam se bezaar hai yaktaaiye dost
Marne waalo ko yaha(n) milti hai umrey javed
Zinda chhodegi kisi ko na masihaaiye dost
Unko yakta kiya aur khalq banayi ya’ni
Anjuman kar ke tamaasha kare tanhaaiye dost
Kaa’ba wa Arsh mein kohraam hai naakaami ka
Aah kis bazm me hai jalwaye yaktaaiye dost
Husne be parda ke parde ne mita rakkha hai
Dhoond-ne jaaye(n) kaha(n) jalwaye harjaaiye dost
Shauq roke na ruke paao uthaye na uthe
Kaisi mushkil mein hein Allah tamannaaiye dost
Sharm se jhukti hai mehraab ki saajid hein Huzoor
Sajda karwati hai kaa’be se jabee(n) saaiye dost
Taaj walo (n) ka yaha khaak me maatha dekha
Saare daaraao(n) ki daaraa huyi daaraaiye dost
Toor par koi, koi charkh pe ye arsh se paar
Saare baalaao(n) pe baala rahi baalaiye dost
Anta phi-mo him ne adu ko bhi liya daaman mein
Aishe javed mubarak tujhe shaidaaiye dost
Ranje aa’da ka Raza chaara hi kya hai jab unhe
Aap gustaakh rakhen hilmo(n) shikaibaaiye dost