Aye kaash unke dar par yun maut meri aaye
Nazre jhuki ho meri dil naat gungunaye

Mere Rab mujhe ata ho dar e Mustafa ka manzar
Wo haseen sabz gunbad meri aankhon me samaye

Mai chalunga jhum kr phir khuld e baree ki janib
Jo shafi e roz e mehshar meri har khata mitaye

Aaghosh khole jannat usko pukarti hai
Jo shaqs apni maa ke qadmon me let jaye

Meri zindagi ka maqsad ho ghulamiye Payambar
Rahe justaju ye dil me bas isi me maut aaye

Ye aarzu hai meri ye ghulam unke dar par
Roro ke unko apne halaat e gham sunaye

Ye Tameem ki dua hai halaat e puralam me
Mujh par karam ho Aaqa rahe rehmato ke saye