Mere Lab Pe Raat Din Hai Tera Naam Ghaus-e-Azam
tere zikr se bane hai.n mere kaam, Gaus-e-aa’zam !mere raaste me.n aa kar kabhi mushkile.n na Thehri.n
mere kaam aa raha hai tera naam, Gaus-e-aa’zam !jo nazar uTha ke dekhu.n to ho saamne madina
mere ‘ishq ko ‘ata kar wo maqaam, Gaus-e-aa’zam !
tu ‘ali ka zor-e-baazu, tu rasool-e-haq ki KHushboo
hai saKHaawato.n ka mansab tere naam, Gaus-e-aa’zam !
mera kaa’ba-e-iraadat hai unhi.n ka aastaana
ki tamaam auliya ke hai.n imaam Gaus-e-aa’zam
kare kyu.n na aa ke kaa’ba bhi tawaaf un ke dar ka
ki tamaam auliya ke hai.n imaam Gaus-e-aa’zam
meri KHaali jholi bhar de, mujhe maalaamaal kar de
tera faiz, teri rehmat to hai ‘aam, Gaus-e-aa’zam !
hai unhi.n ke ruKH se raushan mah-o-mehr aur, Anjum !
meri sub.h Gaus-e-aa’zam, meri shaam Gaus-e-aa’zam
Poet:
Qamar Anjum
Naat-Khwaan:
Haji Mujhtaq Attari
Qari Rizwan Khan
1. On my lips day and night is Your name, Gaus-e-A’zam
Through Your mention, my tasks have become meaningful, Gaus-e-A’zam
2. No difficulty has ever stood in my way,
Your name has always helped me, Gaus-e-A’zam
3. When I lift my gaze, I see Madina before me
Grant my love the station, Gaus-e-A’zam
4. You are the strength of Ali’s arm, You are the fragrance of the Prophet of Truth,
You hold the title of all virtues, Gaus-e-A’zam
5. My Kaaba of devotion is the sanctuary of those holy beings,
For You are the leader of all Awliya, Gaus-e-A’zam
6. Why shouldn’t even the Kaaba make a pilgrimage to Your door?
For You are the leader of all Awliya, Gaus-e-A’zam
7. Fill my empty hands, make me wealthy and prosperous,
Your grace and mercy are abundant, Gaus-e-A’zam
8. It is by their guidance that the moon and the sun shine, O anjum
My morning is Gaus-e-A’zam, my evening is Gaus-e-A’zam