Bohot Din Ho Gaye Taiba Ke Raste Dekh To Aaye – Naat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | बहुत दिन हो गए तैयबा के रास्ते देख तो आए

Bohot Din Ho Gaye Taiba Ke Raste Dekh To Aaye – Naat Lyrics in Roman English


Bohot Din Ho Gaye Taiba Ke Raste Dekh To Aaye
Chalo Us Shehr Ko Ik Baar Phir Se Dekh To Aaye

Utar Jaayegi Mehroomi Ki Chaadar Shehre Taiba Mein
Chamak Uthenge Qismat Ke Sitaare Dekh To Aaye

Judaayi Ke Dhulenge Naqsh Gehre Dil Ki Takhti Se
Chadhega Range Qurbat Wo Nazaare Dekh To Aaye

Usi Din Aarzuon Ke Khandar Mein Raushni Hogi
Dare Sarkaar Ke Raushan Ujaale Dekh To Aaye

Huzoori Ki Woh Pehli Pehli Saa’at Khoob Rulaati Hai
Nigaahon Ko Ussi Dar Ki Talab Hai Dekh To Aaye

Haseen Palkhon Ka Chilman Kholenge Jaa Kar Madine Mein
Sadaa Aankhon Mein Rakhenge Woh Jalwe Dekh To Aaye

Mehekti Khushbuen Khud Hi Pata Us Shehar Ka Dengi
Ujaagar Uttho Himmat Karlo Chal Ke Dekh To Aaye

Shayar: Allama Nishar Ujaagar


बहुत दिन हो गए तैयबा के रास्ते देख तो आए
चलो उस शहर को इक बार फिर से देख तो
आए

उतर जाएगी महरूमी की चादर शहरे तैयबा में
चमक उठेंगे क़िस्मत के सितारे देख तो आए

जुदाई के धुलेंगे नक्श गहरे दिल की तख्ती से
चढ़ेगा रंगे क़ुर्बत वो नज़ारे देख तो आए

उसी दिन आरज़ुओं के खंडर में रौशनी होगी
दरे सरकार के रौशन उजाले देख तो आए

हुज़ूरी की वो पहली पहली साअत खूब रुलाती है
निगाहों को उसी दर की तलब है देख तो आए

हसीन पलकों का चिलमन खोलेंगे जा कर मदीने में
सदा आँखों में रखेंगे वो जलवे देख तो आए

महकती खुशबुएँ खुद ही पता उस शहर का देंगी
उजागर उठो हिम्मत कर लो चल के देख तो आए

शायर: अल्लामा निसार उजागर


بہت دن ہو گئے طیبہ کے راستے دیکھ تو آئے
چلو اُس شہر کو اِک بار پھر سے دیکھ تو آئے

اتر جائے گی محرومی کی چادر شہرِ طیبہ میں
چمک اٹھیں گے قسمت کے ستارے دیکھ تو آئے

جدائی کے دھلیں گے نقش گہرے دل کی تختی سے
چڑھے گا رنگِ قربت وہ نظارے دیکھ تو آئے

اُسی دن آرزوؤں کے کھنڈر میں روشنی ہو گی
درِ سرکار کے روشن اجالے دیکھ تو آئے

حضوری کی وہ پہلی پہلی ساعت خوب رلاتی ہے
نگاہوں کو اُسی در کی طلب ہے دیکھ تو آئے

حسین پلکوں کا چلمن کھولیں گے جا کر مدینے میں
سدا آنکھوں میں رکھیں گے وہ جلوے دیکھ تو آئے

مہکتی خوشبوئیں خود ہی پتا اُس شہر کا دیں گی
اُجاگر اُٹھو ہمت کر لو چل کے دیکھ تو آئے

شاعر: علامہ نثار اُجاگر


👉 Best Madina Kalam Collection


Bigdi Meri Banado Ya Shahe Sanjari – Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | बिगड़ी मेरी बनादो या शाहे संजरी


Bohot Din Ho Gaye Taiba Ke Raste Dekh To Aaye ek dil ko chhoo lene wali Madina Naat hai jo Madina Munawwara ki ziyaarat ki tamanna, judai ke dard aur Huzoor ﷺ ke dar ki haazri ki aarzu ko khoobsurti se bayan karti hai. Is kalam mein Aashiq-e-Rasool ﷺ ke jazbaat aur Madina ki muhabbat numayan hain.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top