Jo Bhi Sarkar Ke Mangton Mein Gine Jaate Hain Naat Lyrics

Jo Bhi Sarkar Ke Mangton Mein Gine Jaate Hain-Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || जो भी सरकार के मँगतों में गिने जाते हैं

Jo Bhi Sarkar Ke Mangton Mein Gine Jaate Hain-Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu


Jo bhi Sarkar ke mangton mein gine jaate hain
Ye haqeeqat hai wo shahon mein gine jaate hain

Naam sun kar jo nahi padhte Durood-e-Aqdas
Aise afraad bakheelon mein gine jaate hain

Thokarein ghair ki khaayein ye nahi ho sakta
Aap se maangne walon mein gine jaate hain

Karbala walon mein wo nanhe Ali Asghar bhi
Deen-e-Islam ke sheron mein gine jaate hain

Ae Ghani! Daulat-e-duniya ki na lalach de humein
Ghaus-e-Azam ke faqeeron mein gine jaate hain

Dar-ba-dar wo kabhi bhatka nahi karte, logo!
Jo bhi Khwaja ke deewanon mein gine jaate hain

Jin ko kehta hai jahaan shaan se Aala Hazrat
Un ke farmaan daleelon mein gine jaate hain

Mere Akhtar ke fataawon se jinhein nafrat hai
Wo sabhi log zaleelon mein gine jaate hain

Baat chalti hai jo Akhtar ki to keh dete hain
Un ko hum dekhne walon mein gine jaate hain

Jab se Gulzar ne daali hai inayat ki nazar
Kaanch ke tukde hain heere mein gine jaate hain

Khush-naseebi hai qasam se ye hamari, Saadi!
Un ki zulfon ke aseeron mein gine jaate hain

Shayar: Mufti Suhail Saadi Amjadi
Naat-Khwaan: Qari Zakir Ismaili


जो भी सरकार के मँगतों में गिने जाते हैं

जो भी सरकार के मँगतों में गिने जाते हैं
ये हक़ीक़त है वो शाहों में गिने जाते हैं

नाम सुन कर जो नहीं पढ़ते दुरूद-ए-अक़्दस
ऐसे अफ़राद बख़ीलों में गिने जाते हैं

ठोकरें ग़ैर की खाएँ ये नहीं हो सकता
आप से माँगने वालों में गिने जाते हैं

कर्बला वालों में वो नन्हें ‘अली असग़र भी
दीन-ए-इस्लाम के शेरों में गिने जाते हैं

ऐ ग़नी! दौलत-ए-दुनिया की न लालच दे हमें
ग़ौस-ए-आ’ज़म के फ़क़ीरों में गिने जाते हैं

दर-ब-दर वो कभी भटका नहीं करते, लोगो!
जो भी ख़्वाजा के दीवानों में गिने जाते हैं

जिन को कहता है जहाँ शान से आ’ला हज़रत
उन के फ़रमान दलीलों में गिने जाते हैं

मेरे अख़्तर के फ़तावों से जिन्हें नफ़रत है
वो सभी लोग ज़लीलों में गिने जाते हैं

बात चलती है जो अख़्तर की तो कह देते हैं
उन को हम देखने वालों में गिने जाते हैं

जब से गुलज़ार ने डाली है ‘इनायत की नज़र
काँच के टुकड़े हैं हीरों में गिने जाते हैं

ख़ुश-नसीबी है क़सम से ये हमारी, सा’दी!
उन की ज़ुल्फ़ों के असीरों में गिने जाते हैं

शायर: मुफ़्ती सुहैल सा’दी अमजदी
ना’त-ख़्वाँ: क़ारी ज़ाकिर इस्माईली


جو بھی سرکار کے منگتوں میں گنے جاتے ہیں

جو بھی سرکار کے منگتوں میں گنے جاتے ہیں
یہ حقیقت ہے وہ شاہوں میں گنے جاتے ہیں

نام سن کر جو نہیں پڑھتے درودِ اقدس
ایسے افراد بخیلوں میں گنے جاتے ہیں

ٹھوکریں غیر کی کھائیں یہ نہیں ہو سکتا
آپ سے مانگنے والوں میں گنے جاتے ہیں

کربلا والوں میں وہ ننھے علی اصغر بھی
دینِ اسلام کے شیروں میں گنے جاتے ہیں

اے غنی! دولتِ دنیا کی نہ لالچ دے ہمیں
غوثِ اعظم کے فقیروں میں گنے جاتے ہیں

در بہ در وہ کبھی بھٹکا نہیں کرتے، لوگو!
جو بھی خواجہ کے دیوانوں میں گنے جاتے ہیں

جن کو کہتا ہے جہاں شان سے اعلیٰ حضرت
ان کے فرمان دلیلوں میں گنے جاتے ہیں

میرے اختر کے فتاووں سے جنہیں نفرت ہے
وہ سبھی لوگ ذلیلوں میں گنے جاتے ہیں

بات چلتی ہے جو اختر کی تو کہہ دیتے ہیں
ان کو ہم دیکھنے والوں میں گنے جاتے ہیں

جب سے گلزار نے ڈالی ہے عنایت کی نظر
کانچ کے ٹکڑے ہیں ہیروں میں گنے جاتے ہیں

خوش نصیبی ہے قسم سے یہ ہماری، سعدی!
ان کی زلفوں کے اسیروں میں گنے جاتے ہیں

شاعر: مفتی سہیل سعدی امجدی
نعت خواں: قاری ذاکر اسماعیلی


Maula Ki Rahmaton Ka Khazeena Nazar Mein Hai-Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || मौला की रहमतों का ख़ज़ीना नज़र में है


Teri Ik Chashm-e-Rahmat Se Tera Beemaar Behtar-Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || तेरी इक चश्म-ए-रहमत से तेरा बीमार बेहतर है


Ya Ghaus! Ho Tum Abdul Qaadir-Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || या ग़ौस! हो तुम अब्दुल क़ादिर


Read Jo Bhi Sarkar Ke Mangton Mein Gine Jaate Hain Naat Lyrics in Roman English, Hindi, and Urdu. This beautiful Islamic kalam is written by Mufti Suhail Saadi Amjadi and recited by Qari Zakir Ismaili. Explore the complete lyrics in three scripts and follow every verse with ease. This page is helpful for Naat lovers who want to read, learn, and recite this kalam in their preferred language.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top