Basa Hua Hai Nabi Ka Dayar Aankhon Main – Naat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | बसा हुआ है नबी का दयार आँखों में

Basa Hua Hai Nabi Ka Dayar Aankhon Main – Naat Lyrics in Roman English


Basa Hua Hai Nabi Ka Dayar Aankhon Main
Sajaye Baitha Hoon Ek Jalwa Zaar Aankhon Main

Diyar-e-Pak Ka Har Manzar-e-Haseen-o-Jameel
Rahe Ga Ta-Ba-Qaza Yaadgaar Aankhon Main

Ata Kiya Jo Madine Ke Basiyon Ne Mujhe
Mehak Raha Hai Ab Tak Woh Pyaar Aankhon Main

Ab Is Se Badh Ke Koi Surma Aur Kya Hoga?
Samait Laaya Hoon Main Kuch Ghubaar Aankhon Main

Baghair Dekhe Madina Inhein Nazar Aaya
Hain Munfarid Meri Aankhein Hazaar Aankhon Main

Tarap Hai Dil Main Madine Ke Jalwa Zaron Ki
Aur Intizaar-e-Safar Beqaraar Aankhon Main

Sunaoun Ga Woh Kahani Huzoor Ko Ja Kar
Chhupaye Baitha Hoon Jo Ashkbaar Aankhon Main

Hai Etemaad Bhi Iqbal Ko Shafa’at Par
Saza Ka Khauf Bhi Hai Gunahgaar Aankhon Main

Jo Din Madine Mein Guzre Hain Unka Kya Kehna
Rache Huye Hain Woh Lail-o-Nahaar Aankhon Main

Diyar-e-Pak Ki Jin Ko Hui Hai Deir Naseeb
Main Dhoondh Loon Ga Woh Aankhein Hazaar Aankhon Se

Basa Hua Hai Nabi Ka Dayar Aankhon Main
Sajaye Baitha Hoon Ek Jalwa Zaar Aankhon Main


बसा हुआ है नबी का दयार आँखों में
सजाए बैठा हूँ एक जल्वा ज़ार आँखों में

दियार-ए-पाक का हर मंज़र-ए-हसीं-ओ-जमील
रहेगा ता-ब-क़ज़ा यादगार आँखों में

अता किया जो मदीने के बाशिंदों ने मुझे
महक रहा है अब तक वो प्यार आँखों में

अब इस से बढ़ के कोई सुरमा और क्या होगा?
समेट लाया हूँ मैं कुछ ग़ुबार आँखों में

बग़ैर देखे मदीना इन्हें नज़र आया
हैं मुनफ़रिद मेरी आँखें हज़ार आँखों में

तड़प है दिल में मदीने के जल्वा ज़ारों की
और इंतिज़ार-ए-सफ़र बेक़रार आँखों में

सुनाऊँगा वो कहानी हुज़ूर को जा कर
छुपाए बैठा हूँ जो अश्कबार आँखों में

है एतमाद भी इक़बाल को शफ़ाअत पर
सज़ा का ख़ौफ़ भी है गुनाहगार आँखों में

जो दिन मदीने में गुज़रे हैं उनका क्या कहना
रचे हुए हैं वो लैलो-नहार आँखों में

दियार-ए-पाक की जिन को हुई है देर नसीब
मैं ढूँढ लूँगा वो आँखें हज़ार आँखों से

बसा हुआ है नबी का दयार आँखों में
सजाए बैठा हूँ एक जल्वा ज़ार आँखों में


بسا ہوا ہے نبی کا دیار آنکھوں میں
سجائے بیٹھا ہوں ایک جلوہ زار آنکھوں میں

دیارِ پاک کا ہر منظرِ حسین و جمیل
رہے گا تا بہ قضا یادگار آنکھوں میں

عطا کیا جو مدینے کے باسیوں نے مجھے
مہک رہا ہے اب تک وہ پیار آنکھوں میں

اب اس سے بڑھ کے کوئی سرمہ اور کیا ہوگا؟
سمیٹ لایا ہوں میں کچھ غبار آنکھوں میں

بغیر دیکھے مدینہ انہیں نظر آیا
ہیں منفرد میری آنکھیں ہزار آنکھوں میں

تڑپ ہے دل میں مدینے کے جلوہ زاروں کی
اور انتظارِ سفر بے قرار آنکھوں میں

سناؤں گا وہ کہانی حضور کو جا کر
چھپائے بیٹھا ہوں جو اشکبار آنکھوں میں

ہے اعتماد بھی اقبال کو شفاعت پر
سزا کا خوف بھی ہے گناہگار آنکھوں میں

جو دن مدینے میں گزرے ہیں ان کا کیا کہنا
رچے ہوئے ہیں وہ لیل و نہار آنکھوں میں

دیارِ پاک کی جن کو ہوئی ہے دیر نصیب
میں ڈھونڈ لوں گا وہ آنکھیں ہزار آنکھوں سے

بسا ہوا ہے نبی کا دیار آنکھوں میں
سجائے بیٹھا ہوں ایک جلوہ زار آنکھوں میں


👉 Hindi Naat Lyrics Collection


Bardar Aamad Bandaa-e Bagri Khataah – Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | बर्दार आमद बंदा-ए बग़री ख़ताह


Basa Hua Hai Nabi Ka Dayar Aankhon Main ek dil-nasheen Madina Naat hai jo Aashiq-e-Rasool ﷺ ke dil mein Madina Munawwara ki muhabbat, yaadon aur ziyaarat ki tamanna ko khoobsurati se bayan karti hai. Is naat mein Madine ki fizaon, noorani manazir aur Huzoor ﷺ ki shafa’at ki umeed ka jazba numayan hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top