Akhri Waqt Me Kya Raunaq E Duniya Dekhun

Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun

Aqibat Meri Sawar Jaye Jo Taiba Dekhun

Dast-e-imroz Me Aaina-e- Farda Dekhun

Jaliyan Dekhun Ke Deewar-o-dar-o-baam-e-Haram

Apni Ma’azoor Nigahon Se Main Kya Kya Dekhun

Main Kahan Hoon Ye Samajh Lun To Uthaun Nazren

Dil Zara Sambhle To Main Janib-e-khazra Dekhun

Maine Jin Ankhon Se Dekha Hai Kabhi Shahr-e-nabi

Aur In Ankhon Se Ab Kya Koi Jalwa Dekhun

Mere Maula Meri Ankhen Mujhe Wapas Kar De

Take Is Baar Main Jee Bhar Ke Madina Dekhun

Jin Gali Kunchon Me Guzre Hon Kabhi Mere Huzoor

In Me Ta-hadde Nazar Naqsh-e- Kafe Paa Dekhun

Take Ankhon Ka Bhi Ehsaan Uthana Na Pare

Qalb Khud Aaenah Ban Jaye Mai Itna Dekhun

Kaash iqbal Yunhi Umar Basar Ho Meri

Subah Kaabe Me Ho Aur Sham Ko Taiba Dekhun

Apni Be Noor Nigahon Se Mai Kya Kya Dekhun

Ab To Bas Ek Hi Dhun Hai Ke Madina Dekhun