Ya Ilaahi Bhool Jaau(n) Naz’aa Ki Takleef Ko

Shaadiye Deedaar-E  Husne-Mustafa Ka Saath Ho

 

Ya Ilaahi Bhool Jaau(n) Naz’aa Ki Takleef Ko

Ya Ilaahi Gore Teerah Ki Jab Aaye Sakht Raat

Unke Pyaare Muh Ki Sub’he Jaa(n) Fiza Ka Saath Ho

 

Ya Illahi Jab Pade Mahshar Me Shore Daaro Geer

Amn Dene Waale Pyaare Peshwa Ka Saath Ho

 

 

Ya Ilaahi Jab Zabaane Bahar Aaye(n) Pyaas Se

Saahibe Koushar Shahe Joodo Ata Ka Saath Ho

 

 

Ya Ilaahi Surd Mehri Par Ho Jab Khurshide Hashr

Sayyad-E Be Saaya Ke Zille Liwa Ka Saath Ho

 

 

Ya Ilaahi Garmiye Mahshar Se Jab Bhadke Badan

Daamne Mahboob Ki Thandi Hawa Ka Saath Ho

 

 

 

Ya Ilaahi Naam-E-Aamaal Jab Khulne Lage(n)

Aib Poshe Khalq Sattar-e Khata Ka Saath ho

 

 Ya Ilaahi Jab Bahe(n) Aankhe(n) Hisaab-E-Jurm Me

Un Tabassum Rez Honto(n) Ki Dua Ka Saath Ho

 

 

 

Ya Ilaahi Jab Hisaabe Khanda-E Be Jaa Roola-E

Chashme Giryan-E-Shafi-E Murtaja Ka Saath Ho

 

 

 

Ya Ilaahi Rung Laaye(n) Jab Meri Be Bakiya(n)

Un Ki Neechi Neechi Nazro(n) Ki Haya Ka Saath Ho

 

 

Ya Ilaahi Jab Chalu(n) Taarik Raahe Pul Siraat

Aaftaabe Haashimi Noorul Huda Ka Saath Ho

 

 

Ya Ilaahi Jab Sare Shamsheer Par Chalna Pade

Rabbe Sallim Kahne Waale Ghamjuda Ka Saath Ho

 

 

Ya Ilaahi Jo Dua-E Nek Mein Tujh Se Karu(n)

Qudsiyo(n) Ke Lab Se Aami(n) Rabbna Ka Saath Ho

 

 Ya Ilaahi Jab RAZA Khwabe Giraa(n) Se Sar Uthaa-E

Doulat-E Bedaar Ishq-E Mustafa ka Saath Ho