Shah-e-Deen Ke Naalain Uthane Ke Qaabil – Naat Lyrics in Roman English
Shah-e-Deen Ke Naalain Uthane Ke Qaabil
Kahan Mera Sar Us Khazaane Ke Qaabil
Wo Khaak-e-Dayaar-e-Habeeb-e-Khuda Hai
Kahan Meri Aankhen Lagaane Ke Qaabil
Abhi Wo Bula Lein Mujhe Ek Pal Mein
Magar Main Kahan Hoon Bulaane Ke Qaabil
Khuda Ki Qasam Wo Bulaayenge Mujh Ko
Main Ho Jaaunga Jab Bulaane Ke Qaabil
Mera Zikr Chhodo, Tasavvur Bhi Mera
Nahin Hai Madine Mein Jaane Ke Qaabil
Agar Apne Aamaal Ko Yaad Kar Loon
Nahin Ek Pal Muskuraane Ke Qaabil
Hoon Shahr-e-Madina Ke Kutto Ka Kutta
Main Ye Bhi Nahin Hoon Bataane Ke Qaabil
Nakeerain Bas Khol Dein Meri Aankhen
Nahin Un Ko Chehra Dikhaane Ke Qaabil
Hai Javed Phir Bhi Muqaddar Pe Naazaan
Kiya Rab Ne Naatein Sunaane Ke Qaabil
Muhammad Ali Faizi
शह-ए-दीं के ना’लैन उठाने के क़ाबिल
कहाँ मेरा सर उस ख़ज़ाने के क़ाबिल
वो ख़ाक-ए-दयार-ए-हबीब-ए-ख़ुदा है
कहाँ मेरी आँखें लगाने के क़ाबिल
अभी वो बुला लें मुझे एक पल में
मगर मैं कहाँ हूँ बुलाने के क़ाबिल
ख़ुदा की क़सम वो बुलाएँगे मुझ को
मैं हो जाऊँगा जब बुलाने के क़ाबिल
मेरा ज़िक्र छोड़ो, तसव्वुर भी मेरा
नहीं है मदीने में जाने के क़ाबिल
अगर अपने आ’माल को याद कर लूँ
नहीं एक पल मुस्कुराने के क़ाबिल
हूँ शहर-ए-मदीना के कुत्तों का कुत्ता
मैं ये भी नहीं हूँ बताने के क़ाबिल
नकीरैन बस खोल दें मेरी आँखें
नहीं उन को चेहरा दिखाने के क़ाबिल
है जावेद फिर भी मुक़द्दर पे नाज़ाँ
किया रब ने ना’तें सुनाने के क़ाबिल
ना’त-ख़्वाँ: मुहम्मद अली फ़ैज़ी
شاہِ دیں کے نعلین اٹھانے کے قابل
کہاں میرا سر اُس خزانے کے قابل
وہ خاکِ دیارِ حبیبِ خدا ہے
کہاں میری آنکھیں لگانے کے قابل
ابھی وہ بلا لیں مجھے ایک پل میں
مگر میں کہاں ہوں بلانے کے قابل
خدا کی قسم وہ بلائیں گے مجھ کو
میں ہو جاؤں گا جب بلانے کے قابل
میرا ذکر چھوڑو، تصور بھی میرا
نہیں ہے مدینے میں جانے کے قابل
اگر اپنے اعمال کو یاد کر لوں
نہیں ایک پل مسکرانے کے قابل
ہوں شہرِ مدینہ کے کتوں کا کتا
میں یہ بھی نہیں ہوں بتانے کے قابل
نکیریں بس کھول دیں میری آنکھیں
نہیں اُن کو چہرہ دکھانے کے قابل
ہے جاوید پھر بھی مقدر پہ نازاں
کیا رب نے نعتیں سنانے کے قابل
نعت خواں: محمد علی فیضی
👉 Ahl e Bait Manqabat Collection
10 Soulful Naat Lyrics Collection | Roman English, Hindi & Urdu
Shah-e-Deen Ke Naalain Uthane Ke Qaabil is a deeply emotional naat expressing humility, devotion, and longing for Madina Sharif. This beautiful kalam reflects the feelings of an imperfect servant who hopes for the mercy of Prophet Muhammad ﷺ and dreams of being blessed with a visit to the holy city of Madina.



