Lab Pe Jab Naam-e-Muhammad Ki Sada Aati Hai Naat Lyrics

Lab Pe Jab Naam-e-Muhammad Ki Sada Aati Hai-Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || लब पे जब नाम-ए-मुहम्मद की सदा आती है

Lab Pe Jab Naam-e-Muhammad Ki Sada Aati Hai-Naat Lyrics in Roman English


Lab pe jab naam-e-Muhammad ki sada aati hai
Un ke darbaar se rahmat ki ghata aati hai

Hijr-e-Sarkaar ke gham mein jo qaza aati hai
Us kafan ke liye Jannat se rida aati hai

Mar gaya ‘Ishq-e-Muhammad jo basa kar dil mein
Qabr mein us ki Madine se hawa aati hai

Qabr mein bole Nakeerain ki sone do ise
Is ki rag rag se hamein boo-e-wafa aati hai

Un ka beemaar hoon chhedo na, tabeebo! Mujh ko
Meri har roz Madine se dawa aati hai

Bheeni khushboo se mehek jaati hain galiyan, Gulzaar!
Un ke rauze se lipat kar jo saba aati hai

Shaayar:
Sayyid Shah Gulzaar Isma’il Waasti Qaadri

Naat-Khwaan:
Sayyid Abdul Wasi Qaadri Razvi


HINDI

लब पे जब नाम-ए-मुहम्मद की सदा आती है
उन के दरबार से रहमत की घटा आती है

हिज्र-ए-सरकार के ग़म में जो क़ज़ा आती है
उस कफ़न के लिए जन्नत से रिदा आती है

मर गया ‘इश्क़-ए-मुहम्मद जो बसा कर दिल में
क़ब्र में उस की मदीने से हवा आती है

क़ब्र में बोले नकीरैन कि सोने दो इसे
इस की रग रग से हमें बू-ए-वफ़ा आती है

उन का बीमार हूँ छेड़ो न, तबीबो! मुझ को
मेरी हर रोज़ मदीने से दवा आती है

भीनी ख़ुश्बू से महक जाती हैं गलियाँ, गुलज़ार!
उन के रौज़े से लिपट कर जो सबा आती है

शायर:
सय्यिद शाह गुलज़ार इस्माईल वास्ती क़ादरी

नात-ख़्वाँ:
सय्यिद अब्दुल वसी क़ादरी रज़वी


URDU

لب پہ جب نامِ محمد کی صدا آتی ہے
اُن کے دربار سے رحمت کی گھٹا آتی ہے

ہجرِ سرکار کے غم میں جو قضا آتی ہے
اُس کفن کے لیے جنت سے ردا آتی ہے

مر گیا عشقِ محمد جو بسا کر دل میں
قبر میں اُس کی مدینے سے ہوا آتی ہے

قبر میں بولے نکیرین کہ سونے دو اسے
اِس کی رگ رگ سے ہمیں بُوئے وفا آتی ہے

اُن کا بیمار ہوں چھیڑو نہ، طبیبو! مجھ کو
میری ہر روز مدینے سے دوا آتی ہے

بھی​نی خوشبو سے مہک جاتی ہیں گلیاں، گلزار!
اُن کے روضے سے لپٹ کر جو صبا آتی ہے

شاعر:
سید شاہ گلزار اسماعیل واسطی قادری

نعت خواں:
سید عبد الواسع قادری رضوی


Madine Ki Anguthi Hai-Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || मदीने की अँगूठी है


Zara Chhed Tu Naghma-e-Qaadariyyat-Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || ज़रा छेड़ तू नग़्मा-ए-क़ादरिय्यत


Shahbaaz-e-Laa-Makaani-Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || शाहबाज़-ए-ला-मकानी


Ya Ghaus! Ho Tum Abdul Qaadir-Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || या ग़ौस! हो तुम अब्दुल क़ादिर


Lab Pe Jab Naam-e-Muhammad Ki Sada Aati Hai is a beautiful Naat expressing deep love for the Prophet Muhammad ﷺ and the spiritual blessings associated with Madina. The Kalam beautifully describes mercy, Ishq-e-Muhammad, the fragrance of Madina and the peace found through devotion to the beloved Prophet ﷺ. These Naat lyrics are presented in Roman English, Hindi and Urdu. The Kalam is written by Sayyid Shah Gulzaar Isma’il Waasti Qaadri and recited by Sayyid Abdul Wasi Qaadri Razvi.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top