Falak Ke Naazaro, Zameen Ki Bahaaro
Sub Eidein Manao Huzoor Aa Gaye Hain
Uttho Gham Ke Maaro Chalo Be-Sahaaro
Khabar Ye Sunao Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
Anokha Niraala Woh Zeeshaan Ayaa
Woh Saare Rasool’on Ka Sultan Ayaa
Arey Kaj-Kula’ho Arey Baadshaho
Nigahein Jhukao Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
Huwaa Char Su Rehmaton Ka Basera
Ujaala Ujaala, Sawera Sawera
Halima Ko Pohnchi Khabar Aamena Ki
Mere Ghar Main Aao, Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
Hawa’o Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke
Faza’o Mein Nagmaat Salle’Alla Ke
Durood’o Ke Gajre, Salam’o Ke Tohfe
Ghulamo Sajaao, Huzoor Agaye Hain
Huzoor Aa Gaye Hain, Huzoor Aa Gaye Hain
Sama Hai Sana E Habeeb E Khuda Ka
Ye Meelad Hai Sarware Ambiya Ka
Nabi Ke Gadao Sub Ek Doosre Ko
Gale Se Lagao, Huzoor Agaye Hain
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain
Kaha Mai Zahuri Kaha Unki Baatein
Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Raatein
Jahaan Par Bhi Jaao Dilaun Ko Jagao
Yahi Kehte Jaao, Huzoor Agaye Hain
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain
Falak Ke Naazaro, Zameen Ki Bahaaro
Sub Eidein Manao Huzoor Aa Gaye Hain
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain
(Sallallahu Alaihi Wasallam)