Aankhon Ko Woh Pur Kaif Nazare Nahin Bhule – Naat Lyrics in Roman English
Aankhon ko woh pur kaif nazare nahin bhule
Woh din jo Madine mein guzare nahin bhule
Bechain hai ik baar uthe phir wohi ungli
Mohtaab ko Aaqa ke ishare nahin bhule
Ghir jaaun main ji chahe mera phir se bhanwar mein
Aaqa ne diye the jo sahare nahin bhule
Islam ke gulshan ko bachaya tha jinhon ne
Karbala ko woh Zahra ke dulare nahin bhule
Taiba ki haseen raat mein Farooqi humari
Taqdeer ke chamke jo sitare nahin bhule
Naat Khwan
Qari Shahid Mehmood
आँखों को वो पुर कैफ़ नज़ारे नहीं भूले
वो दिन जो मदीने में गुज़ारे नहीं भूले
बेचैन है इक बार उठे फिर वही उंगली
महताब को आक़ा के इशारे नहीं भूले
घिर जाऊँ मैं जी चाहे मेरा फिर से भँवर में
आक़ा ने दिए थे जो सहारे नहीं भूले
इस्लाम के गुलशन को बचाया था जिन्होंने
कर्बला को वो ज़हरा के दुलारे नहीं भूले
तैबा की हसीन रात में फ़ारूक़ी हमारी
तक़दीर के चमके जो सितारे नहीं भूले
ना’त-ख़्वाँ
क़ारी शाहिद महमूद
آنکھوں کو وہ پر کیف نظارے نہیں بھولے
وہ دن جو مدینے میں گزارے نہیں بھولے
بے چین ہے اک بار اٹھے پھر وہی انگلی
مہتاب کو آقا کے اشارے نہیں بھولے
گھر جاؤں میں جی چاہے مرا پھر سے بھنور میں
آقا نے دیے تھے جو سہارے نہیں بھولے
اسلام کے گلشن کو بچایا تھا جنہوں نے
کربلا کو وہ زہرا کے دلارے نہیں بھولے
طیبہ کی حسین رات میں فاروقی ہماری
تقدیر کے چمکے جو ستارے نہیں بھولے
نعت خواں
قاری شاہد محمود
Aankhon Ko Woh Pur Kaif Nazare Nahin Bhule is a heart-touching naat describing the unforgettable memories of Madina and the deep love for Prophet Muhammad ﷺ. This kalam beautifully reflects the emotions of those who have experienced the spiritual beauty of Madina.If you are searching for Aankhon Ko Woh Pur Kaif Nazare Nahin Bhule lyrics, here you will find full lyrics in Roman English, Hindi, and Urdu.




