Shab-e-Furqat Hai Dil Mein Iztiraab Aaya To Kya Hoga Naat Lyrics in Roman English

Shab-e-Furqat Hai Dil Mein Iztiraab Aaya To Kya Hoga – Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || शब-ए-फ़ुर्क़त है दिल में इज़्तिराब आया तो क्या होगा

Shab-e-Furqat Hai Dil Mein Iztiraab Aaya To Kya Hoga – Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu


Shab-e-Furqat hai dil mein iztiraab aaya to kya hoga
Jo is zulmat se milne aaftaab aaya to kya hoga

Likhe hain khat jo Aaqa ko pashemaani ke ashkon se
Kisi din us mehrbaan ka jawaab aaya to kya hoga

Sada jis naazneen paikar ko socha hi kiya main ne
Kabhi jo khwaab mein woh be-hijaab aaya to kya hoga

Main sehra-e-atash mein Qais ki maanind jo bhatkoon
Agar sar-chashma-e-Haq ka luaab aaya to kya hoga

Khayalon mein jo Makke ki zafar-yaabi chali aayi
Achaanak but-kade mein inqilaab aaya to kya hoga

Mu’attar karne qismat se dar-o-baam-e-dil-o-jaan ko
Meri khaatir Madine ka gulaab aaya to kya hoga

Naat-Khwan:
Muhammad Ali Faizi


शब-ए-फ़ुर्क़त है दिल में इज़्तिराब आया तो क्या होगा
जो इस ज़ुल्मत से मिलने आफ़ताब आया तो क्या होगा

लिखे हैं ख़त जो आक़ा को पशेमानी के अश्कों से
किसी दिन उस मेहरबाँ का जवाब आया तो क्या होगा

सदा जिस नाज़नीं पैकर को सोचा ही किया मैं ने
कभी जो ख़्वाब में वो बे-हिजाब आया तो क्या होगा

मैं सहरा-ए-‘अतश में क़ैस की मानिंद जो भटकूँ
अगर सर-चश्मा-ए-हक़ का लु’आब आया तो क्या होगा

ख़यालों में जो मक्के की ज़फ़र-याबी चली आई
अचानक बुत-कदे में इंक़िलाब आया तो क्या होगा

मुअत्तर करने क़िस्मत से दर-ओ-बाम-ए-दिल-ओ-जाँ को
मेरी ख़ातिर मदीने का गुलाब आया तो क्या होगा

ना’त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी


شبِ فرقت ہے دل میں اضطراب آیا تو کیا ہوگا
جو اس ظلمت سے ملنے آفتاب آیا تو کیا ہوگا

لکھے ہیں خط جو آقا کو پشیمانی کے اشکوں سے
کسی دن اس مہرباں کا جواب آیا تو کیا ہوگا

صدا جس نازنیں پیکر کو سوچا ہی کیا میں نے
کبھی جو خواب میں وہ بے حجاب آیا تو کیا ہوگا

میں صحراۓ عطش میں قیس کی مانند جو بھٹکوں
اگر سرچشمۂ حق کا لعاب آیا تو کیا ہوگا

خیالوں میں جو مکے کی ظفر یابی چلی آئی
اچانک بت کدے میں انقلاب آیا تو کیا ہوگا

معطر کرنے قسمت سے در و بام دل و جاں کو
میری خاطر مدینے کا گلاب آیا تو کیا ہوگا

نعت خواں:
محمد علی فیضی


Nabi Ki Aankh Ke Taare Mere Siddiq-e-Akbar Hain – Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || नबी की आँख के तारे मेरे सिद्दीक़-ए-अकबर हैं


Allah Ka Jo Sher Hai Waliyon Ka Wali Hai – Manqabat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || अल्लाह का जो शेर है वलियों का वली है


Jab Un Ka Karam Ho Jata Hai – Naat Lyrics in Roman English, Hindi and Urdu || जब उन का करम हो जाता है


Shab-e-Furqat Hai Dil Mein Iztiraab Aaya To Kya Hoga is a beautiful Naat Kalam recited by Muhammad Ali Faizi. These heartfelt verses express the emotions of longing, love and devotion towards the beloved Prophet Muhammad ﷺ. Read the complete Naat lyrics in Roman English, Hindi and Urdu and enjoy this soulful Kalam with its original poetic expression.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top