Aankhon Ko Wo Pur-Kaif Nazare Nahi Bhoole – Naat Lyrics in Roman English
Aankhon ko wo pur-kaif nazare nahi bhoole
Wo din jo Madine mein guzare nahi bhoole
Phir keeje karam, ya Nabi! Hasnain ka sadqa
Shehar aap ka ye dard ke maare nahi bhoole
Bechain hai, ik baar uthe phir wahi ungli
Mahtaab ko Aaqa ke ishaare nahi bhoole
Gir jaaun main jee chahe mera phir se bhanwar mein
Aaqa ne diye the jo sahare nahi bhoole
Islam ke gulshan ko bachaya tha jinhon ne
Karbala ko wo Zahra ke dulare nahi bhoole
Taiba ki haseen raat mein, Farooqi! hamari
Taqdeer ke chamke jo sitaare nahi bhoole
Shayar:
Suhail Kaleem Farooqi
Naat-Khwan:
Asad Raza Attari
Qari Shahid Mahmood
आँखों को वो पुर-कैफ़ नज़ारे नहीं भूले
वो दिन जो मदीने में गुज़ारे नहीं भूले
फिर कीजे करम, या नबी! हसनैन का सदक़ा
शहर आप का ये दर्द के मारे नहीं भूले
बेचैन है, इक बार उठे फिर वही उँगली
महताब को आका के इशारे नहीं भूले
गिर जाऊँ मैं जी चाहे मेरा फिर से भँवर में
आका ने दिए थे जो सहारे नहीं भूले
इस्लाम के गुलशन को बचाया था जिन्हों ने
कर्बल को वो ज़हरा के दुलारे नहीं भूले
तयबा की हसीं रात में, फ़ारूक़ी! हमारी
तक़दीर के चमके जो सितारे नहीं भूले
शायर:
सुहैल कलीम फ़ारूक़ी
ना’त-ख़्वाँ:
असद रज़ा अत्तारी
क़ारी शाहिद महमूद
آنکھوں کو وہ پُرکیف نظارے نہیں بھولے
وہ دن جو مدینے میں گزارے نہیں بھولے
پھر کیجیے کرم، یا نبی! حسنین کا صدقہ
شہر آپ کا یہ درد کے مارے نہیں بھولے
بے چین ہے، اک بار اٹھے پھر وہی انگلی
مہتاب کو آقا کے اشارے نہیں بھولے
گر جاؤں میں جی چاہے میرا پھر سے بھنور میں
آقا نے دیے تھے جو سہارے نہیں بھولے
اسلام کے گلشن کو بچایا تھا جنہوں نے
کربل کو وہ زہرا کے دلارے نہیں بھولے
طیبہ کی حسیں رات میں، فاروقی! ہماری
تقدیر کے چمکے جو ستارے نہیں بھولے
شاعر:
سہیل کلیم فاروقی
نعت خواں:
اسد رضا عطاری
قاری شاہد محمود
Beautiful Naat and Islamic Kalam Collection Roman Hindi Urdu
Aankhon Ko Wo Pur-Kaif Nazare Nahi Bhoole Naat lyrics express the unforgettable spiritual moments spent in Madina and the deep longing to return to that blessed city. The verses reflect gratitude, love for the Prophet ﷺ, and remembrance of the divine signs and mercy experienced there.
This touching kalam, known as Aankhon Ko Wo Pur-Kaif Nazare Nahi Bhoole lyrics, is written by Suhail Kaleem Farooqi and beautifully recited by Asad Raza Attari and Qari Shahid Mahmood, stirring emotions of love, devotion, and nostalgia for Madina.




