Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari daer se

Dalo nazre karam sarkar Apne mangton par ek baar

Hum ne mehfil hai sajayi bari daer se

Mere chaand mein sadqe aaja idhar bhi

Chamak uthe dil ki gali Ghous e Azam

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se

 

Tere Rab ne maalik kiya tere jadd ko Tere dar se dunya pali Ghous e Azam

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se

Tera rutba Aala na kyun ho ke Maula Tu hai Ibne Maula Ali Ghous e Azam

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se

 

Qadam gardan-e-Auliya par hai tera Tu hai Rab ka aisa Wali Ghous e Azam

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se

 

Tum jo banao baat banegi Dono jahan main laaj rahe gi

Lajpaal karam ab kardo mangto ki jholi bhar do

Bhar do Kasa sab ka panjatani khair se

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se

Kaha hum ne Ya Ghous AGHISNI to tum ne

Har aai musibat tali Ghous e Azam

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se

Mushkil jab bhi sar par aayi Teri Rahmat aare aayi

Jab mene tumhe pukara Kaam aya tera sahara

Chalta Aasi ka guzara teri khair se

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se

 

Fida tum pe ho jaye Noori-e- muztar

Ye hai iski khuwahish Dili Ghous e Azam

Mera Waliyon ke Imam Dedo Panjtan Ke Naam

Hum ne Jholi hai phelayi bari der se