Momin Unka Kya Hua Allah Uska Ho gaya
Kaafir Unse Kya Phira Allah He Se Phir Gaya

 

Woh Ki Us Dar Ka Hua Khalke Khuda Uski Hui
Woh Ki Us Dar Se Phira Allah Us Se Phir Gaya

 

 

Mujhko Diwana Bata-te Ho Mein Woh Hushiyar Hu(n)
Paau(n) Jab Toufey Haram Mein Thak Gaye Sar Phir Gaya

 

 

Rahmatullil-aalmin Aafat Mein Hun Kaisi Karu(n)
Mere Moula Mein To Is Aafat Se Bala Mai Ghir Gaya

 

 

Mein Tere Hanthon Ke Sadqe Kaisi Kankariyan Thin Woh
jin Se Itne Kaafiron Ka Daf’atan Muh Phir Gaya

 

 

Kyon Janabe Boo Huraira Tha Woh Kaisa Jaame Sheer
Jis Se Sattar Saahibo(n) Ka Dhoodh Se Muh Phir Gaya

 

 

Waasita Pyare Ka Aisa Ho Ki Jo Sunni Marae
Yun Na Farmaye Tere Shahid Ki Woh Faajir Gaya