Fir utha walwaye yaade mughilane arab
Fir khincha daamne dil suye bayabaane arab
Bahge firdous ko jaate hein hazarane arab
Haye sahraa-a arab haye bayabaane arab
Meethi baatein teri azum imaane arab
Na-maki(n) husn tera jaane azum shaane arab
Ab to hai girya-a khoo(n) gau-hare damaane arab
Jis me do la’al the zahra ke woh thi kaane arab
Dil wahi dil hai jo aankhon se ho hairaane arab
Aankhen woh aankhen hein jo dil se ho qurbaane arab
Haaye kis waqt lagi faans alam ki dil mein
Ki bohut door rahe khaare mughilaane arab
Fasle gul laakh na ho wasl ki rakh aas hazaar
Phoolte phalte hein be fasl gulistaane arab
Sadqe hone ko chale aate hain laakhon gulzaar
Kuch ajab rang se phoola hai gulistaane arab
Andaleebi pe jhagadte hein kate marte hein
Gulo bulbul ko lada-ta hai gulistaane arab
Sadqe rehmat ke kaha(n) phool kaha(n) khaar ka kaam
Khud hai daaman kashe bulbul gule khandane arab
Shaadiye hashr hai sadqe mein chhutenge qaidi
Arsh par dhoom se hai da’wate mehmaane arab
Charche hote hein yeh kumh-laaye huye phoolo(n) me
Kyun ye din dekhte paate jo bayabaane arab
Tere be daam ke bande hai raesaane ajam
Tere bedaam ke bandi hai hazaraane arab
Hasht khuld aaye(n) waha kasbe latafat ko Raza
Char din barse jaha(n) abre baharane arab