Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko Hama-Tan Karam Banaya
Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko Hama-Tan Karam Banaya
Humein Bheek Maangne Ko Tera Aastaa(n) Bataya
Tujhe Hamd Hai Khudaya
Tumhin Haakime Baraaya Tumhi(n) Qaasime Ataaya
Tumhin Daafe’ye Balaaya Tumhi Shaafe’ye Khataaya
Koi Tum Sa Kaun Aaya
Woh Kunwaari Paak Maryam Woh Nafakhtu Feehi Ka Dum
Hai Ajab Nishaane Aa’zam Magar Aamina Ka Jaaya
Wohi Sab Se Afzal Aaya
Yahi Bole Sidra Waale Chamane Jahaa(n) Ke Thaale
Sabhi Maine Chaan Daale Tere Paaye Ka Na Paaya
Tujhe Yak Ne Yak Banaya
Fa Izaa Faraghta Fan Sab Yeh Mila Hai Tum Ko Mansab
Jo Gada Bana Chuke Ab Uththo Waqte Bakhshish Aaya
Karo Qismate Ataaya
Wa Ilal Ilaahi Farghab Karo Arz Sab Ke Matlab
Ki Tumhi(n) Ko Takte Hain Sab Karo Un Par Apna Saaya
Bano Shaafe’ye Khataaya
Are Aye Khuda Ke Bando Ko Mere Dil Ko Dhoondo
Mere Paas Tha Abhi To Abhi Kya Hua Khudaya
Na Koi Gaya Na Aaya
Hume Aye Raza Tere Dil Ka Pata Chala Ba Mushkil
Dare Rauza Ke Muqaabil Woh Humein Nazar To Aaya
Yeh Na Pooch Kaisa Paaya
वही रब है जिसने तुजको हमतन करम बनाया
हमें भीख मांगने को तेरा आस्तां बताया
तुझे हम्द है खुदाया तुझे हम्द है खुदाया
तुम्ही हाकीमे बराया तुम्ही क़ासीमे अताया
तुम्ही दाफए बलाया तुम्ही शाफए खताया
कोई तुमसा कौन आया तुझे हम्द है खुदाया तुझे हम्द है खुदाया
वोह कुँवारी पाक मरयम व नफ़ख़तु फीही का दम
हैं अजब निशाने आज़म मगर आमिना का जाया
वोही सबसे अफ़ज़ल आया तुझे हम्द है खुदाया तुझे हम्द है खुदाया
यही बोले सिदरा वाले चमने जहाँ के थाले
सभी मैंने छान डाले तेरे पाए का न पाया
तुझे यक ने यक बनाया तुझे हम्द है खुदाया तुझे हम्द है खुदाया
अरे ए खुदा के बन्दों कोई मेरे दिल को ढूंढो
मेरे पास था अभी तो अभी क्या हुआ खुदाया
न कोई गया न आया तुझे हम्द है खुदाया तुझे हम्द है खुदाया
हमें ए रज़ा तेरे दिल का पता चला बा मुश्किल
दरे रोज़े के मुक़ाबिल वो हमें नज़र तो आया
ये न पूछो कैसा पाया तुझे हम्द है खुदाया
तुझे हम्द है खुदाया
Az…Aala hazrat imam ahle sunnat
Al Amaan Qeher He Ae Ghaus Woh Teekha Teraa
Waah kya Jood o Karam hai Shahe Batha Tera
“Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko Hama-Tan Karam Banaya” is one of the most famous and beautiful Naats in praise of Prophet Muhammad ﷺ. This timeless kalam highlights the mercy, beauty, and exalted status given to the beloved Prophet by Allah. Many people search for Wohi Rab Hai Jis Ne Tujh Ko Hama-Tan Karam Banaya lyrics to recite this beloved Naat with devotion and love.




