Unche, Uncho Ke Saro(N) Se, Qadam Aala Tera
Ghause A’zam Bamane Besaro Saamaa(N) Madade
Qiblaae Dee(N) Madade Kaa’baaey Imaa(N) Madade
Wah Kya Martaba Aye Gaus Hai Bala Tera
Unche, Uncho Ke Saro(N) Se, Qadam Aala Tera
Sar Bhala Kya Koi Jaane, Ke Hai Kaisa Tera
Aulia Malte Hai Aankhei(N), Woh Hai Talwa Tera
Kya Dabe Jis Pe Himaayat Ka Ho Panja Tera
Sher Ko Khatre Mei(N) Laata Nahi(N) Kutta Tera
Tu Hasani, Hussaini, Kyo(N) Na Muhyiddin Ho
Aey, Khizr Majmaaey Bahrain Hai Chash’mah Tera
Qasme De, De Ke Khilaata Hai, Pilaata Hai Tujhe
Pyara Allah Tera Chaahne Waala Tera
Mustafa Ke Tane Besaaye Ka Saayaah Dekha
Jis Ne Dekha Meri Jaan, Jalwaaey Zaiba Tera
Ibne Zahra Ko Mubarak Ho Uroos-e-Qudrat
Qadri Paaye Tasadduq Mere Dulha Tera
Kyu Na Qasim Ho Ke Tu Ibne Abul Qasim Hai
Kyu Na Qadir Ho Ke Mukhtaar Hai Baba Tera
Nabawi Mei(N) Alawi Fasl, Batooli Gulshan
Hasani Phool, Hussaini Hai Mahekna Tera
Nabavi Zil Alavi Burj Batooli Manzil
Hasani Chand Husaini Hai Ujala Tera
Saare Aqhtaabe Jahan karte Hai Kaabe Ka Tawaaf
Kaaba Karta Hai Tawaafe Dare Wala Tera
Jo Wali Qabl The ya Baad Hue Ya Honge
Sab Adab Rakhte Hai Dil Me Mere Aaqa Tera
Tujh Se Dar, Dar Se Sag, Aur Sag Se Mujh Ko Nisbat
Meri Gardan Mei(N) Bhi Hai, Dur Ka Dauraa(N) Tera
Is Nishaani Ke Jo Sag Hai(N), Nahi(N) Maare Jaate
Hashr Tak Mere Gale Mei(N) Rahe Patta Tera
Meri Qismat Qasam Khaaey Sagaane Baghdaad
Bartaaniya Mei(N) Bhi Hu(N) To Deta Rahu(N) Pehra Tera
“Warafa’ana Laka Zikreka” Ka Hai Saayaah Tujh Par
Bol Baala Hai Tera, Zikr Hai Uncha Tera
Bad Sahi, Chor Sahi, Mujrime Nakaara Sahi
Aey Woh Kaisa Hi Sahi, Hai To Karima Tera
Bad Sahi Chor Sahi Mujrim O Nakaara Sahi
Aye Wo Kaisa Hi Sahi Hai To Kareema Tera
Mujh Ko Ruswa Bhi Agar Koi Kahega To Yunhi
Ke Wahi Na Woh RAZA Banda E Ruswa Tera
Hain RAZA Yun Na Bilak Tu Nahi Jayyid To Na Ho
Sayyide Jayyide Har Dahar Hai Maula Tera
Fakhre Aaqa Mei(N) Raza Aur Bhi Ek Nazm Rafi
Chal Likha Laaey Sana Khwaano Mei(N) Chehra Tera
Wah Kya Martaba Aye Gaus Hai Bala Tera
Unche, Uncho Ke Saro(N) Se, Qadam Aala Tera