Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain Lyrics image with Islamic spiritual background and Hazrat Ali theme

Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain || सबीले इश्क की सब रौनकें अली से हैं

Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain


Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain
Tareeq-e-Rushd Ki Sab Mashalein Ali Se Hain

Dar e Uloom-e-Nabuwwat Hai Zaat Mola Ki
Tamam Ilm Ki Yeh Masnadein Ali Se Hain

Ali Jamal-e-Muhammad, Ali Jalal-e-Khuda
Yeh Kaarzar-e-Wafa Mein Safein Ali Se Hain

Ali Hai Baab-e-Wilayat, Ali Imam-e-Huda
Kushaad-e-Fikr Ki Sab Wusatain Ali Se Hain

Ramooz-e-Kun Fa Yakoon Hon Ya Raaz Wahdat Ke
Hain Aashkaar Agar Qurbatein Ali Se Hain

Sab Aastana-e-Hidayat Ali Se Mile
Yeh Khanqaahon Ki Sab Azmatein Ali Se Hain

Qasam Khuda Ki Tasalsul Hai Faiz-e-Ahmad Ka
Zahe Naseeb Agar Nisbatain Ali Se Hain

Ali Ki Banda Nawazi Hayaat Hai Meri
Nafas Nafas Mein Meri Hiddatein Ali Se Hain

Main Panjtan Ke Ghulamon Ka Hoon Ghulam Adeem
Janam Janam Se Meri Baiatain Ali Se Hain

Shaair: Abbas Nadeem Qureshi


सबीले इश्क की सब रौनकें अली से हैं
तरीक-ए-रुश्द की सब मशअलें अली से हैं

दरे उलूम-ए-नबूवत है ज़ात‌ मौला की
तमाम इल्म की ये मस्नदें अली से हैं

अली जमाल-ए-मुहम्मद, अली जलाल-ए-खुदा
ये कारझार-ए-वफा में सफें अली से हैं

अली है बाब-ए-विलायत, अली इमाम-ए-हुदा
कुशाद-ए-फिक्र की सब वुसअतें अली से हैं

रमूज़-ए-कुन फ‌ यकून हों या राज़ वहदत के
हैं आशकार अगर क़ुर्बतें अली से हैं

सब आस्ताना-ए-हिदायत अली से मिले
ये ख़ानकाहों की सब अज़मतें अली से हैं

कसम खुदा की तसल्सुल है फ़ैज़-ए-अहमद का
ज़हे नसीब अगर निस्बतें अली से हैं

अली की बंदा नवाज़ी हयात है मेरी
नफ़स-नफ़स में मेरी हिदायतें अली से हैं

मैं पंजतन के ग़ुलामों का हूँ ग़ुलाम अदीम
जनम-जनम से मेरी बैअतें अली से हैं

शायर: अब्बास नदीम क़ुरैशी


سبیل عشق کی سب رونقیں علی سے ہیں
طریق رشد کی سب مشعلیں علی سے ہیں

در علوم نبوت ہے ذات مولا کی
تمام علم کی یہ مسندیں علی سے ہیں

علی جمال محمد علی جلال خدا
یہ کارشار وفا میں صفیں علی سے ہیں

علی ہے باب ولایت علی امام ہدیٰ
کشاد فکر کی سب وسعتیں علی سے ہیں

رموز کن فیکن ہوں یا راز وحدت کے
ہیں آشکار اگر قربتیں علی سے ہیں

سب آستانہ ہدایت علی سے ملے
یہ خانقاہوں کی سب عظمتیں علی سے ہیں

قسم خدا کی تسلسل ہے فیض احمد کا
زہے نصیب اگر نسبتیں علی سے ہیں

علی کی بندہ نوازی حیات ہے میری
نفس نفس میں میری حدتیں علی سے ہیں

میں پنجتن کے غلاموں کا ہوں غلام عدیم
جنم جنم سے مری بیعتیں علی سے ہیں

شاعر: عباس ندیم قریشی


Khuda ke Sher aye Maula-e-Kainat Ali || खुदा के शेर ऐ मौला-ए-काइनात अली


hazrat-e-masaud-e-ghazi-akhtar-e-burj-e-huda-lyrics || हज़रत मसऊद-ए-ग़ाज़ी अख्तर-ए-बुर्ज-ए-हुदा


“Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain Lyrics” is a beautiful manqabat expressing that the beauty and strength of the path of love comes through Ali ibn Abi Talib. These Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain Lyrics highlight his spiritual greatness, courage, and central role in inspiring love and faith. The Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain Lyrics inspire believers to follow the path of devotion and loyalty.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top