Qallat Heelati Anta Waseelati Adrikni Ya Rasoolallah – Naat Lyrics in Roman English
Qallat Heelati Anta Waseelati Adrikni Ya Rasoolallah
Adrikni Ya Rasoolallah, Adrikni Ya Rasoolallah
Ghatayein gham ki chaayein dil pareshan Ya Rasoolallah
Tumhi ab kuch karo Maah-e-Risalat Ya Rasoolallah
Ghatayein gham ki chaayein dil pareshan Ya Rasoolallah
Tumhi ho mere dard-o-dukh ka darmaan Ya Rasoolallah
Safeenay ke parakhchay urr chukkay hain zor-e-tufaan se
Sambhalo mein bhi dooba aye meri jaan Ya Rasoolallah
Gunahoon ki nahi jaatei hai aadat Ya Rasoolallah
Tumhi ab kuch karo Maah-e-Risalat Ya Rasoolallah
Mein bachna chahta hoon haaye phir bhi bach nahi paata
Gunahoon ki parri hai aisi aadat Ya Rasoolallah
Humein haryalay gumbad ke tallay qadmon mein maut aaye
Salamat lekay jaayein deen-o-imaan Ya Rasoolallah
Mujhe marna hai Aaqa gumbad-e-khizra ke saaye mein
Watan mein margaya tou kia karoonga Ya Rasoolallah
Bohot kamzoor hoon qaabil nahi hargiz azaboon ke
Khudara saath letay jaana jannat Ya Rasoolallah
Yahan jaisay hamari aeb poshi aap kartay hain
Wahan bhi aap rakhlejiyega izzat Ya Rasoolallah
Mera ye khuwaab hojaye Shaha sharminda-e-tabeer
Madinay mein piyoon jaam-e-shahadat Ya Rasoolallah
Madina meetha meetha hai Madina pyara pyara hai
Madinay se mujhe beyhud hai ulfat Ya Rasoolallah
Meri har dharkan-e-dil se Madinay ki sada niklay
Rahay zikr-e-madina lub pe har dam Ya Rasoolallah
Shaha Attar per har aan rehmat ki nazar rakhna
Karay din raat buss sunnat ki khidmat Ya Rasoolallah
Shaha Attar ko dou gaz Madinay mein zameen dejiye
Waheen ho dafn tera ye sana khuwaan Ya Rasoolallah
Qallat Heelati Anta Waseelati Adrikni Ya Rasoolallah
Adrikni Ya Rasoolallah, Adrikni Ya Habeeballah
Nibhaalo tum nibhaalo tum nibhaalo Ya Rasool Allah
Bulaalo ab Madine mein bulaalo Ya Rasool Allah
Satate hain jo duniya wale is ka kuch nahi hain gham
Mujhe bas apna keh kar tum bulaalo Ya Rasool Allah
Sunehri jaaliyon key saamne pohcha hoon mein Aaqa
Mujhe apni ziyaarat tum karaado Ya Rasool Allah
Meri qismat buree ho to Khudara tum bhalee kardo
Sanwaaro meri qismat ko sanwaaro Ya Rasool Allah
Ataa ho ilm ki daulat ataa ho deed ki daulat
Damey aakhir Madina bhi ataa ho Ya Rasool Allah
Shafa’at ka sawali hoon sawali hoon mai rehmat ka
Ijaabat se nawaazo tum nawaazo Ya Rasool Allah
Mo’in-e-raah-e-Taiba hain mere Khwaja Mo’inuddeen
Mo’in-e-raah-e-jannat bhi banaado Ya Rasool Allah
Tasadduq Ghaus E A’azam ka tawassul A’ala Hazrat ka
Baqee-e-paak ke qaabil banaado Ya Rasool Allah
Nigah-e-Mufti-e-A’azam ney zinda kardiya dil ko
Unhi ka saath mehshar me ataa ho Ya Rasool Allah
Tamanna ye liye jaata hai Aaqa Shakir E Razvi
Ise izne Madina phir ataa ho Ya Rasool Allah
Qallat Heelati Anta Waseelati Adrikni Ya Rasoolallah
Adrikni Ya Rasoolallah, Adrikni Ya Rasoolallah
Nazar aata nahi koi kinaaraa Ya Rasoolallah
Bhanwar ki gardishon se tum bachaanaa Ya Rasoolallah
Nahi hai koi apna juz tumhaare is zamaane main
Gunahgaaron ko apna tum banaanaa Ya Rasoolallah
Madeenah aana jaana ho dil e muzhtar ki hasrat hai
Mujhe har saal Taibah main bulaanaa Ya Rasoolallah
Sunehri jaaliyaan hon or parhun jab aap ki naatain
Rukh e anwar se tab pardah uthaanaa Ya Rasoolallah
Naza ke waqt karna tum meri sab mushkilen aasaan
Hamain imaan pe dunya se uthaanaa Ya Rasoolallah
Shaha dar dar ki thokar se bacha kar ye sharaf de de
Baqi E Paak ban jaaye thikaanaa Ya Rasoolallah
Lahad ki raat ho taareek or wahshat nakeeron ki
Thapak kar chen se us dam sulaanaa Ya Rasoolallah
Sar E Mahshar lage jab bheer sab Kawsar ke pyaason ki
Mujhe bhi jaam Kawsar ka pilaanaa Ya Rasoolallah
Shaha Abid ke dil ki bas yahi ummeed o khwaahish hai
Qiyaamat main bhi is ko tum nibhaanaa Ya Rasoolallah
क़ल्लत हीलती अन्त वसीलती अदरिक्नी या रसूलल्लाह
अदरिक्नी या रसूलल्लाह, अदरिक्नी या रसूलल्लाहह
घटाएँ ग़म की छाएँ दिल परेशान या रसूलल्लाह
तुम ही अब कुछ करो माह-ए-रिसालत या रसूलल्लाह
घटाएँ ग़म की छाएँ दिल परेशान या रसूलल्लाह
तुम ही हो मेरे दर्द-ओ-दुख का दरमाँ या रसूलल्लाह
सफ़ीने के परखच्चे उड़ चुके हैं ज़ोर-ए-तूफ़ाँ से
संभालो मैं भी डूबा ऐ मेरी जान या रसूलल्लाह
गुनाहों की नहीं जाती है आदत या रसूलल्लाह
तुम ही अब कुछ करो माह-ए-रिसालत या रसूलल्लाह
मैं बचना चाहता हूँ हाय फिर भी बच नहीं पाता
गुनाहों की पड़ी है ऐसी आदत या रसूलल्लाह
हमें हरियाले गुम्बद के तल्ले क़दमों में मौत आए
सलामत ले के जाएँ दीन-ओ-ईमान या रसूलल्लाह
मुझे मरना है आक़ा गुम्बद-ए-ख़िज़रा के साए में
वतन में मर गया तो क्या करूँगा या रसूलल्लाह
बहुत कमज़ोर हूँ क़ाबिल नहीं हरगिज़ अज़ाबों के
ख़ुदारा साथ लेते जाना जन्नत या रसूलल्लाह
यहाँ जैसे हमारी ऐब पोशी आप करते हैं
वहाँ भी आप रख लीजिएगा इज़्ज़त या रसूलल्लाह
मेरा ये ख़्वाब हो जाए शहा शर्मिंदा-ए-ता’बीर
मदीने में पियूँ जाम-ए-शहादत या रसूलल्लाह
मदीना मीठा मीठा है मदीना प्यारा प्यारा है
मदीने से मुझे बेहद है उल्फ़त या रसूलल्लाह
मेरी हर धड़कन-ए-दिल से मदीने की सदा निकले
रहे ज़िक्र-ए-मदीना लब पे हर दम या रसूलल्लाह
शहा अत्तार पर हर आन रहमत की नज़र रखना
करे दिन रात बस सुन्नत की ख़िदमत या रसूलल्लाह
शहा अत्तार को दो गज़ मदीने में ज़मीन दीजिए
वहीं हो दफ़्न तेरा ये सना-ख़्वाँ या रसूलल्लाह
क़ल्लत हीलती अन्त वसीलती अदरिक्नी या रसूलल्लाह
अदरिक्नी या रसूलल्लाह, अदरिक्नी या हबीबल्लाह
निभालो तुम निभालो तुम निभालो या रसूल अल्लाह
बुलालो अब मदीने में बुलालो या रसूल अल्लाह
सताते हैं जो दुनिया वाले इस का कुछ नहीं है ग़म
मुझे बस अपना कह कर तुम बुलालो या रसूल अल्लाह
सुनेहरी जालियों के सामने पहुँचा हूँ मैं आक़ा
मुझे अपनी ज़ियारत तुम करा दो या रसूल अल्लाह
मेरी क़िस्मत बुरी हो तो ख़ुदारा तुम भली कर दो
संवारो मेरी क़िस्मत को संवारो या रसूल अल्लाह
अता हो इल्म की दौलत अता हो दीद की दौलत
दम-ए-आख़िर मदीना भी अता हो या रसूल अल्लाह
शफ़ा’अत का सवाली हूँ सवाली हूँ मैं रहमत का
इजाबत से नवाज़ो तुम नवाज़ो या रसूल अल्लाह
मोईन-ए-राह-ए-तयबा हैं मेरे ख़्वाजा मोईनुद्दीन
मोईन-ए-राह-ए-जन्नत भी बना दो या रसूल अल्लाह
तसद्दुक़ ग़ौस-ए-आज़म का तवस्सुल आला हज़रत का
बक़ी’-ए-पाक के क़ाबिल बना दो या रसूल अल्लाह
निगाह-ए-मुफ़्ती-ए-आज़म ने ज़िंदा कर दिया दिल को
उन्हीं का साथ महशर में अता हो या रसूल अल्लाह
तमन्ना ये लिए जाता है आक़ा शाकिर-ए-रज़वी
इसे इज़्न-ए-मदीना फिर अता हो या रसूल अल्लाह
क़ल्लत हीलती अन्त वसीलती अदरिक्नी या रसूलल्लाह
अदरिक्नी या रसूलल्लाह, अदरिक्नी या रसूलल्लाह
नज़र आता नहीं कोई किनारा या रसूलल्लाह
भँवर की गर्दिशों से तुम बचाना या रसूलल्लाह
नहीं है कोई अपना जुज़ तुम्हारे इस ज़माने में
गुनहगारों को अपना तुम बनाना या रसूलल्लाह
मदीना आना जाना हो दिल-ए-मुज़्तर की हसरत है
मुझे हर साल तयबा में बुलाना या रसूलल्लाह
सुनेहरी जालियाँ हों और पढ़ूँ जब आप की ना’तें
रुख़-ए-अनवर से तब पर्दा उठाना या रसूलल्लाह
नज़ा के वक़्त करना तुम मेरी सब मुश्किलें आसान
हमें ईमान पे दुनिया से उठाना या रसूलल्लाह
शहा दर दर की ठोकर से बचा कर ये शरफ़ दे दे
बक़ी’-ए-पाक बन जाए ठिकाना या रसूलल्लाह
लहद की रात हो तारीक और वहशत नकीरों की
थपक कर चैन से उस दम सुलाना या रसूलल्लाह
सर-ए-महशर लगे जब भीड़ सब कौसर के प्यासों की
मुझे भी जाम-ए-कौसर का पिलाना या रसूलल्लाह
शहा आबिद के दिल की बस यही उम्मीद-ओ-ख़्वाहिश है
क़ियामत में भी इस को तुम निभाना या रसूलल्लाह




