Mustafa E Zaate Yakta Aap Hein

Yak Ne Jis Ko Yak Banaya Aap Hein

 

Aap Jaisa Koi Ho Sakta Nahi

Apni Har Khoobi Me Tanha Aap Hein

 

Aabo Gil Me Noor Ki Pahli Kiran

Jaane Aadam Jaane Hawwa Aap Hein

 

Husne Awwal Ki Namoode Awwaleen

Bazme Aakhir Ka Ujala Aap Hein

 

Laa Maka(N) Tak Jis Ki Faili Roushni

Wo Charaghe Aalam Aara Aap Hein

 

Aap Ki Tal’at Khuda Ka Aaina

Jis Me Chamke Haq Ka Jalwa Aap Hein

 

Aap Ko Rab Ne Kiya Apna Habeeb

Saari Khalqat Ka Khulasa Aap Hein

 

Aap Ki Khaatir Banaye Do Jahan

Apni Khaatir Jo Banaya Aap Hein

 

Aap Ki Tal’at Ko Dekha Jaan Dee

Qabr Me Puancha To Dekha Aap Hein

 

Aap Se Khud Aap Ka Saa’il Hoon Mein

Jaane Jaa(N) Meri Tamanna Aap Hein

 

Bar Darat Aamad Gada Behre Sawaal

Ho Bhala Akhtar Ka Data Aap Hein