Madine Ka Safar Hai Aur Main Namdeedah Namdeedah
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzeedah Laghzeedah
Chala Hoon Ek Mujrim Ki Tarha Mein Janib E Taiba
Nazar Sharminda Sharminda Badan Larzeedah Larzeedah
Kisi Ke Hath Ne Mujh Ko Sahara De Diya Warna
Kahan Mein Aur Kahan Ye Raste Pecheeda Pecheeda
Kahan Me Aur Kahan Us Roza E Aqdas Ka Nazara
Nazar Us Samat Uthti Hey Magar Duzdeedah Duzdeedah
Ghulamaan E Muhammad Door Sey Pehchane Jate Hein
Dil E Girzeedah Girzeedah Sar e Shoreedah Shoreedah
Madine Jaa Key Hum Samjhe Taqaddus Kis Ko Kehte Hein
Hawa Pakeeza Pakeeza Faza Sanjeeda Sanjeeda
Basarat Kho Gayi Lekin Basirat To Salamat Hey
Madina Hum Ne Dekha Hey Magar Naadida Naadida
Wohi Iqbal Jis Ko Naaz Tha Kal Khush Mizaji Par
Firaq E Taiba Me Rehta Hey Aab Ranjeeda Ranjeeda
Madine Ka Safar Hey Aur Me Namdida Namdida
Jabeen Afsurda Afsurda Qadam Laghzida Laghzida