Madina arshe aazam par nahi roo-e-zami par hai
Magar us sar zami ko fouqi’at arshe bari(n) par hai
Shahe meraj ka nakshe qadam arshe bari(n) par hai
Ab us mitti ka kya kahna sarapa jis zami par hai
Mohammad mustafa salle ala ka talwa-e-aqdas
Shabe meraj sardaare malaik ki jabi(n) par hai
Waha se saahibe meraaj tanha arsh par pahu(n)che
Jaha sozish ka Ghalba shah parey roohul ami par hai
hade idraaq se wala hai meraj-e-shahe but’ha
Magar uski sadaqat ahle imaa(n) ke yaki par hai
Agar hai munkire meraaj jismani to ae zaahid
Riyakaari ke sajdo(n) ka nisha teri jabi(n) par hai
Shabe asra unhi ke sar shafa’at ka bandha sehra
Gunahgaaro ki bakhshish rahmattul’lil aalmi(n) par hai
Meri jannat hai ajmal wo jaha.n, jannat ke maalik hon
Ye hi jannat ke maalik hain, meri jannat yahin par hai