Kya Theek Ho Rukh e Nabwi Par Misaale Gul
Paa Maal Jalwaye Kaf-e Paa Hay Jamaale Gul

 

Jannat Hai Un Ke Jalwe Se Ju-yaaye Rang-o-Boo
Aay Gul Hamaare Gul Se Hai Gul Ko Suwaal e Gul

 

Un Ke Qadam Sey Sil’aye Ghaali Hui Jinaa(n)
Wallah Mere Gul Se Hai Jaaho Jalaal e Gul

 

Sunta Hoo(n) Ishq e Shah Mein Dil Hoga Khoo(n) Fishaa
Yaa Rab Ye Muzdah Such Ho Mubarak Ho Faal e Gul

 

Bulbul Haram Ho Chal Gham e Faani Se Faida
Kab Tak Tahegi Haaye Wo Ghuncha o Laal e Gul

 

Ghamgee(n) Hai Shauq e Ghaaza-e Khaake Madina Me
Shabnam Sai Dhul Sakegi Na Girde Malaal e Gul

 

Bulbul Yeh Kya Kaha Mein Kaha(n) Faslein Gul Kaha(n)
Ummeed Rakh Ke Aam Hai Jood o Nawaal e Gul

 

Bulbul Ghira Hai Abre Wilaa Muzdah Ho Ki Ab
Girti Hai Aashiyane Pe Barqe Jamaal e Gul

 

Yaa Rab Hara Bhara Rahe Daaghe Jigar Ka Bagh
Har Mah Mahe Bahaar Ho Har Saal Saal e Gul

 

Range Muzah Se kar kay khajal yaad shah mein,
Kheencha hay ham ne kaanton pe itr-e-jamaal-e-gul

 

Mein Yaade Shah Me Rou(n) Anadil Kaein Huzoom
Har Ashk Laala-Faam Pe Ho Ahtimaal e Gul

 

Hai Aqs-e Chehra Se Labe Gul-Gu(n) Me Surkhiyan
Dooba Hai Badre Gul Se Shafaq Me Hilaal-e Gul

 

Naat-e-Huzoor Mein Mu-tarannum Hai Asndaleeb
Shaakhon Ke Jhoomne Se Ee-ya(n) Wajd-o Haal-e-Gul

 

Bulbul Gul-e-Madinah Hamesha Bahaar Hai
Do Din Ki Hai Bahaar Fana Hai Maal-e-gul.

 

Shaikhein Idhar Nisaar, Ghani-o-Ali Udhar
Ghuncha Hai Bulbulo(n) Ka Yameen-o Shimaal-e-gul

 

Chahe Khuda To Payeinge Ishq-e-Nabi Mein Khuld
Nikli Hai Naama-e Dile Pur Khoo(n) Me Faal-e Gul

 

Kar Us Ki Yaad Jis Se Mile Chain Andaleeb
Dekha Nahi Keh Khaar-e Alam Hai Khyaal-e Gul

 

Dekha Tha Khwab-e Khaare Haram Andleeb Ne
Khatka Kiya Hai Aankh Me Shub Bhar Khyaale Gul

 

Un Do Ka Sadqa Jinko Kaha Mere Phool Hein
Kee-Je RAZA Ko Hashr Mein Khandaa Misaal-e Gul