Khudaya Daur-e-Rahmat Dekhta Main – Naat Lyrics in Roman English
Khudaya! Daur-e-Rahmat Dekhta Main
Nabi Ka Husn-e-Tal’at Dekhta Main
Unhi Ke Dar Pe Hoti Subh Meri
Wahin Par Shaam-e-Furqat Dekhta Main
Madine Ki Gali Mein Sar Jhukaye
Rasool-e-Haq Ki Azmat Dekhta Main
Sahabi Kaash Main Hota Nabi Ka
Karam Ki Har Inayat Dekhta Main
Jabeen-e-Shauq Sajde Mein Jhuka Kar
Ibadat Ki Haqiqat Dekhta Main
Bichhata Apni Palken Un Ki Rah Mein
Ajab Rang-e-Aqeedat Dekhta Main
Kabhi Jo Masjid-e-Nabawi Mein Hota
Jamal-e-Bazm-e-Jannat Dekhta Main
Khateeb-e-Kibriya Ki Haq-Bayani
Woh Ejaz-e-Fasahat Dekhta Main
Uhud Ki Khaak-e-Aqdas Choom Leta
Fidakaron Ki Himmat Dekhta Main
Ata Hoti Basarat Mujh Ko, Ghalib!
Ajab Shan-e-Risalat Dekhta Main
Shayar:
Azizullah Ghalib
Naat Khwan:
Muhammad Anas Nazir
ख़ुदाया! दौर-ए-रहमत देखता मैं
नबी का हुस्न-ए-तल’अत देखता मैं
उन्हीं के दर पे होती सुब्ह मेरी
वहीं पर शाम-ए-फ़ुरक़त देखता मैं
मदीने की गली में सर झुकाए
रसूल-ए-हक़ की अज़मत देखता मैं
सहाबी काश मैं होता नबी का
करम की हर इनायत देखता मैं
जबीन-ए-शौक़ सज्दे में झुका कर
इबादत की हक़ीक़त देखता मैं
बिछाता अपनी पल्कें उन की रह में
अजब रंग-ए-अक़ीदत देखता मैं
कभी जो मस्जिद-ए-नबवी में होता
जमाल-ए-बज़्म-ए-जन्नत देखता मैं
ख़तीब-ए-किब्रिया की हक़-बयानी
वो एजाज़-ए-फ़साहत देखता मैं
उहुद की ख़ाक-ए-अक़्दस चूम लेता
फ़िदाकारों की हिम्मत देखता मैं
अता होती बसारत मुझ को, ग़ालिब!
अजब शान-ए-रिसालत देखता मैं
शायर:
अज़ीज़ुल्लाह ग़ालिब
ना’त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अनस नज़ीर




