Kharab haal kiya dil ko pur malaal kiya
Tumhare kuchey se rukhsat kiya nihal kiya

 

 

Na rooye gul abhi dekha na booye gul soonghi
Qaza ne laakey qafus me shikasta haal kiya

 

 

Woh dil ki khoo(n) shuda arma they jisme mul dala
Fugha(n) ke gore shahida(n) ko paaye-maal kiya

 

 

Yeh raaye kya thi waha se palatney ki ae nafs
Sitam-gur ulti chhuri se hame halaal kiya

 

 

Yeh kub ki mujh se adabut thi tujhko ae zalim
Chhuda ke sungey darey pak sar wabaal kiya

 

 

Chaman se fenk diya aashiya-nae Bulbul
Ujaada khaa-naye bekus buda kamaal kiya

 

 

Tera sitam zuda aankho(n) ne kya bigaada tha
Yeh kya sama-e ki door inse woh jamaal kiya

 

 

Huzoor unke khyaley watan mitana tha
Hum aap mit gae achha faraagh baal kiya

 

 

Na ghar ka rakhkha na us dur ka haaye nakami
Hamari be basi per bhi na kuchh khyaal kiya

 

 

Jo dil ne mar ke jalaya tha mannato(n) ka charag
Sitam ki arz rahe sar sarey zawal kiya

 

 

Madina chhod ke wirana hind ka chhaya
Yeh kaisa haaye hawaso(n) ne ikhtilaal kiya

 

 

Tu jis ke wasitey chhod aaya tayba ka mahboob
Bata to us sitam ara ne kya nihaal kiya

 

 

Abhi abhi to chaman me they chah-chahey nagaah
Yeh dard kaisa utha jis ne ji nidhaal kiya

 

 

Ilaahi sun le Raza jeetay ji ki moula ne
Saganey koocha me mera chehra bahaal kiya