Kaash! Wo Chehra Meri Aankh Ne Dekha Hota – Naat Lyrics in Roman English
Kaash! Wo chehra meri aankh ne dekha hota
Mujh ko taqdeer ne us daur mein likkha hota
Baatein sunta main kabhi, poochhta ma’ni un ke
Aap ke saamne Ashab mein baitha hota
Aayatein abr hain aur dasht zamaane saare
Hum kahaan jaate agar pyaas ne ghera hota
Har siyaah raat mein sooraj hain hadeesain un ki
Wo na aate to zamaane mein andhera hota
Fakhri! Jab Masjid-e-Nabawi mein azaanein hotin
Main Madine se guzarta hua jhonka hota
Shayar:
Zaahid Fakhri
Naat-khwaan:
Sayyid Manzoor-ul-Kounain
Sayyid Zabeeb Masood
Naat Lyrics in Hindi
काश! वो चेहरा मेरी आँख ने देखा होता
मुझ को तक़दीर ने उस दौर में लिखा होता
बातें सुनता मैं कभी, पूछता मा’नी उन के
आप के सामने असहाब में बैठा होता
आयतें अब्र हैं और दश्त ज़माने सारे
हम कहाँ जाते अगर प्यास ने घेरा होता
हर सियाह रात में सूरज हैं हदीसें उन की
वो न आते तो ज़माने में अँधेरा होता
फ़ख़री! जब मस्जिद-ए-नबवी में अज़ानें होतीं
मैं मदीने से गुज़रता हुआ झोंका होता
शायर:
ज़ाहिद फ़ख़री
ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद मंज़ूर-उल-कौनैन
सय्यिद ज़बीब मसूद
Naat Lyrics in Urdu
کاش! وہ چہرہ میری آنکھ نے دیکھا ہوتا
مجھ کو تقدیر نے اُس دور میں لکھا ہوتا
باتیں سنتا میں کبھی، پوچھتا معنی اُن کے
آپ کے سامنے اصحاب میں بیٹھا ہوتا
آیتیں ابر ہیں اور دشت زمانے سارے
ہم کہاں جاتے اگر پیاس نے گھیرا ہوتا
ہر سیاہ رات میں سورج ہیں حدیثیں اُن کی
وہ نہ آتے تو زمانے میں اندھیرا ہوتا
فخری! جب مسجدِ نبوی میں اذانیں ہوتیں
میں مدینے سے گزرتا ہوا جھونکا ہوتا
شاعر:
زاہد فخری
نعت خواں:
سید منظور الکونین
سید ذبیب مسعود
Nabi Ne Dar Pe Bulaaya – Naat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | नबी ने दर पे बुलाया
Maah-e-Tayba Nayyar-e-Bat-ha – Naat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | माह-ए-तयबा नय्यर-ए-बतहा
Read Kaash! Wo Chehra Meri Aankh Ne Dekha Hota complete Naat lyrics in Roman English, Hindi, and Urdu. This beautiful Kalam expresses the heartfelt longing to have seen the blessed face of the Prophet Muhammad ﷺ and to have lived in his blessed era among the Sahaba. The Kalam is written by Zaahid Fakhri and recited by Sayyid Manzoor-ul-Kounain and Sayyid Zabeeb Masood.




