Ey Imaamul Huda Muhibbe Rasool
Deen Ke Muqtada Muhibbe Rasool
Naaibe Mustafa Muhibbe Rasool
Saahibe Istafa Muhibbe Rasool
Khaadim-E-Murtaza Muhibbe Rasool
Mazhare Irtaza Muhibbe Rasool
Ain Haq Ka Bana Muhibbe Rasool
Ain Haq Ka Bana Muhibbe Rasool
Judtul Atqiya Muhibbe Rasool
Umdatul Azkiya Muhibbe Rasool
Gurba Par Fida Muhibbe Rasool
Umra Se Juda Muhibbe Rasool
Ey Salaq Iqtida Muhibbe Rasool
Ey Khalaf Peshwa Muhibbe Rasool
Suqme Dil Ki Shifa Muhibbe Rasool
Chashme Dee Ki Safa Muhibbe Rasool
Sharqe Shaane Wafa Muhibbe Rasool
Barqe Jaane Jafa Muhibbe Rasool
Ey Karam Ki Ghata Muhibbe Rasool
Apni Bearish Bada Muhibbe Rasool
Kyon Na Ho Chand Sa Muhibbe Rasool
Noor Ka Jabha Saa Muhibbe Rasool
Harmaino Hima Me Bas Ke Gaya
Na Jafo Karbala Muhibbe Rasool
Tu Kalam-E-Khuda Ka Hafiz Hai
Tera Hafiz Khuda Muhibbe Rasool
Abde Qadir Na Kyon Ho Naam Ki Hai
Zille Ghousul Wara Muhibbe Rasool
Achche Pyare Ki Khanazaadi Hai
Achcha Pyara Bana Muhibbe Rasool
Sharm Wale Ghani Ka Beta Hai
Kaane Joodo Haya Muhibbe Rasool
Aaj Qaaim Hai Dum Qadam Se Tere
Deene Haq Ki Bina Muhibbe Rasool
Theek Me’yaar Sunniyat Hai Aaj
Teri Hubbo Wila Muhibbe Rasool
Sunniyat Se Fira Huda Se Fira
Ab Jo Tujhse Fira Muhibbe Rasool
Mustafa Ka Hua Khuda Ka Hua
Ab Jo Tera Hua Muhibbe Rasool
Muznibe Bad Mazaaq Raa Zahrast
Shahad Safey Shuma Muhibbe Rasool
Aasiyon Roo Siyaah Dushman-E-Tust
Range Rooshud Gawa Muhibbe Rasool
Khaar Zaaro Ke Waasite Hai Samoom
Gulbano Ko Saba Muhibbe Rasool
Hadme Bunyaane Najd Ka Turra
Tere Sar Par Saja Muhibbe Rasool
Hazme Ahzaabe Nadwa Ka Sehra
Tere Maathe Raha Muhibbe Rasool
Rafzo Tafzeelo Najdiyat Ka Gala
Tere Haaton Kata Muhibbe Rasool
Tone Abnaaye Bud Mazaaqi Ko
Pai Pidar Kar Diya Muhibbe Rasool
Matmi Hein Zanane Najd Ki Haaye
Bewa Tune Kiya Muhibbe Rasool
Jalte Hein Nadwiya Ki Sadr Ki Qadr
Sard Ki Tone Ya Muhibbe Rasool
Sar Mundaate He Pad Gaye O-Ley
Tujh Se Paala Pada Muhibbe Rasool
Bakht Khul Jata Takht Mil Jaata
Tu ne Bandi Rakha Muhibbe Rasool
Ma-Ka-Roo Mak-Ra-Hum Indallah
Mak-Ro-Hum Wala Jaza Muhibbe Rasool
Koh Afghan Tha Unka Makr Magar’
Makre Haq Tha Bada Muhibbe Rasool
Pahle Bhi Makr-daare Nadwa Ko
Haq Ne Di Saza Muhibbe Rasool
Baad Terh(13) Sadi Ke Fir Uchhla
Ab Woh Tujh Se Daba Muhibbe Rasool
Unki Jo Rooyedaad Thi Kar Di
Tu ne Dum Me Haba Muhibbe Rasool
Zar Ke Mufti Bana Karen Mukhti
Tu Hai Mufti Baja Muhibbe Rasool
Naazim-E-Fitna Lakh Hon Tu Hai
Naazim-E-Ihtida Muhibbe Rasool
Jhoote Haqqani Bante Hein Gumraah
Sachche Haqqani Aa Muhibbe Rasool
Kuch Mudahin Hameer Meer Bane
Meer Unko Suna Muhibbe Rasool
Yun Na Samjhe To Sar Uda Ya Aap
Tu Dil Unka Uda Muhibbe Rasool
Nadwi Jhunjhlate Hein Wohi To Hien
Asad Ahmad Raza Muhibbe Rasool
Ghafil Isse Ki Ek Sunni Hai
Fouje Haq Me Hoon Ya Muhibbe Rasool
Galla-E-Buz Ko Ek Sheer Bahut
Woh Bhi Laa Siyyama Muhibbe Rasool
Ham Ba Jaame’aa Rama Ramad Az Sher
Lutf De Jum’aa Ra Muhibbe Rasool
Mere Sattar Suwaal Ka Qarza
Na Ada Ho Saka Muhibbe Rasool
Na Ada Ho Agrche Mahshar Tak
Dheel Unhe De Muhibbe Rasool
Beeso Ailaano Par Bhi Hat Na Saka
Ghoonghat Un Mukhdon Ka Muhibbe Rasool
Sharm-E-Nou Khaastan Rahi Ha’il
Nadwe Ko Hasrata Muhibbe Rasool
Haal Mustan Firah Ka Qaswarh Se
Sub Ne Dekha Suna Muhibbe Rasool
Mere Khanzar Ki Taab Laa Na Sake
Khaak Pahunchege Ta Muhibbe Rasool
Gaaliyan Di Jawaab Ke Badle
Zaa Hayylna Muhibbe Rasool
Shola Khooyon Ko Chhed Kar Sunna
Yan Hai Iska Maza Muhibbe Rasool
Tulkh Zaibad La Sha-krekha Ra
Khwaja Fama Chuka Muhibbe Rasool
Han Na In Do Ka Teesra Dekha
Aankhe Khulti Zara Muhibbe Rasool
Teesra Koun Ouney Haq Jiska
Mein Faqeer Aur Gada Muhibbe Rasool
Teesra Koun Badre Haq Jiska
Sharq Mien Aur Sama Muhibbe Rasool
Teesra Koun Mehre Haq Jiska
Nuqta Mein Mintqa Muhibbe Rasool
Saaya In Do Pe Kaisa Do Ka Hai
Jin Ka Saalis Khuda Muhibbe Rasool
Saaniyas Naine Iz Huma Fil Gaar
Mein Nisaar Aur Fida Muhibbe Rasool
Balki Do Ahwali Se Kahte Hein
Mein Hoon Tujh Me Fana Muhibbe Rasool
Na Tu Mujhse Juda Na Mein Tujh Se
Mein Tera Tu Mera Muhibbe Rasool
Ghalti Ki Tera Mera Kaisa !
Tu Mano Mann Tu Ya Muhibbe Rasool
Yeh Bhi Tere Karam Se Hai Warna
Man Kuja Wa Kuja Muhibbe Rasool
Mein Kaha Aur Kaha Ta’aa’lallah
Teri Madho Sana Muhibbe Rasool
Teri Nemat Ka Shukr Kya Keeje
Tujh Se Kya Kya Mila Muhibbe Rasool
Aur To Aur Sheikh Tujh Se Mila
Is Se Badkar Hai Kya Muhibbe Rasool
Sheikh Bhi Woh Ki Jiske Dar Ki Khaak
Chashme Jaa(N) Jila Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Ik Jhalak Me Kare
Shab Ko Shamsudduha Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Jiski Ek Nigaah
Do Jahan Ka Bhala Sheikh Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Jiske Mur’jaai
Auliya Asfiya Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Fitnon Ki Hai Qaza
Jis Ki Ek Ek Ada Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Jiske Naam Ka Wird
Darde Dil Ki Dawa Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Jiske Ishq Ki Aag
Naar Se Hai Naja Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Haq Ke Phool Khilaaye
Jis Ke Dum Ki Hawa Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Jiska Aabe Wuzu
Baaghe Di Ki Baha Muhibbe Rasool
Shaikh Bhi Woh Ki Khaake Pa Se Kare
Masse Jaan Ko Tila Muhibbe Rasool
Sheikh Bhi Koun Hazrat Aale Rasool
Khaatmul Auliya Muhibbe Rasool
Us Ke Dar Tak Rasaai Tujhse Mili
Tu Hua Rahnuma Muhibbe Rasool
Muh Pe Waajib Hai Tera Shukre Niaam
Mujh Pe Laazim Dua Muhibbe Rasool
Jag Bhagate Charagh Sunnat Ke
Ta Abad Jagmaga Muhibbe Rasool
Na Kabhi Baade Haadisa Paas Aaye
Na Kabhi Jhilmila Muhibbe Rasool
Daaima Teri Nasle Roshan Me
Sham’aa Ho Sham’aa Zaa Muhibbe Rasool
Rahe Ta Roze Noor-O-Huma Yas’aa
Roz Afzoon Ziya Muhibbe Rasool
Muqtadir Tere Nou Baron Ko Karen
Tujh Se Bhi Kuchh Siwa Muhibbe Rasool
Tere Saaye Me Lahlahaye Khilen
Tere Gul Gulbuna Muhibbe Rasool
Moorise Majdo Fazle Aaba Ho
Waarisul Ambiya Muhibbe Rasool
Khaare Dar Chashmon Khwar Dar Chashma
Dushmanat Daaima Muhibbe Rasool
Tujh Pe Fazle Rasool Ka Saaya
Mujh Pe Saaya Tera Muhibbe Rasool
Mera Shafe’aa Huzoor Ghous Me Hun
Madha Ka De Sila Muhibbe Rasool
Muddai Se Mujhe Bacha Le Ghous
Dil Ka Den Mudd’aa Muhibbe Rasool
Mere Sub Kaam Inse Banwa De
Zaahira Baatina Muhibbe Rasool
Mujhe Kar De Rizaaye Ahmad Woh
Jis Ne Tujh Ko Kiya Muhibbe Rasool
Aah Sud Aah Mein Hoon Bi’asal Abd
Madad Ey Habbza Muhibbe Rasool
Bi’asa Ko Ne’ama Se Badalwa De
Apne Moula Se Ya Muhibbe Rasool
Koun Moula Woh Saiyadul Afraad
Ghouse Har Do Sara Muhibbe Rasool
Mein Bhi Dekhoo Jo Toone Dekha Hai
Roze Saya-E-Safa Muhibbe Rasool
Haan Yeh Sach Hai Ki Ya(N) Woh Aankh Kahan
Aankh Pahle Dila Muhibbe Rasool
Teeno Bhai Na Koi Gham Dekhen
Ishqe Shah Se Siwa Muhibbe Rasool
Mere Bête Bhatijon Ko Bhi Ho
Ilme(n) Shafe-Aa Ata Muhibbe Rasool
Deeno Duniya Ki Izzate Paaye
Rad Rahe Har Bala Muhibbe Rasool
Khatima Sub Ka Deene Haq Pe Kare
Kalma-E-Taiyaba Muhibbe Rasool
Khuld Me Zere Zille Ghouse Karim
Rahen Yak Ja RAZA Muhibbe Rasool