Chamn-E Taiba Me Sumbul Jo Saware Gesu
Hoor Bud Kar ShiKan-E Naaz Pe Waare Gesu
Ki Jo Baalo(n) Se Tere Rouze Ki Jaaroob Kashi
Shub Ko Shabnam Ne Tabrruk Ko Hein Dhare Gesu
Hum Siyah Kaaro Pe Ya Rab Tapish-E Mahshar Me
Saya Afghan Ho Tere Pyaare Ke pyaare Gesu
Charche Hooro(n) Me Hein Dekho Zara Baale Buraaq
Sumbul-E-Khuld Ke Kurban Utaare Gesu
Aakhir-E-Hajj Gham-E-Ummat Me Paresha(n) Hokar
Teerah Bakhto(n) Ki Shafa’at Ko Sidhare Gesu
Gosh Tak Sunte The Fariyaad Ab Aaye Taa Dosh
Ki Bane Khana Badosho(n) Ko Sahare Gesu
Sookhe Dhaano Pe Hamare Bhi Karam Ho Jaye
Chhaaye Rahmat Ki Ghata Ban Ke Tumhare Gesu
Qaaba-E Jaa(n) Ko Pin-haya Hai Gilaaf-E- Mushki(n)
Ud Ke Aaye Hein Jo Abr Pe Tumhare Gesu
Silsila Paake Shafa’at Ka Jhuke Padte Hein
Sajda-E Shukr Ke Karte Hein Ishaare Gesu
Mush Boo Koocha Yeh Kis Phool Ka Jhada Un Par
Hoori-yo Ambare Saara Hue Saare Gesu
Dekho Qur’aa(n) Me Shabe Qadr Hai Matla-E Fajr
Ya’Ni Nazdeek Hein Aariz Ke Woh Pyaare Gesu
Bhini Khushboo Se Mahak Jaati Hein Galiyaa(n) Wallah
Kaise Phoolo(n) Me Basa-E Hein Tumhare Gesu
Shaane Rahmat Hai Ki Shana Na Juda Ho Dum Bhar
Seena Chaako(n) Pe Kuchh Is Darja Hein Pyaare Gesu
Shana Hai Panja-E-Kudrat Tere Baalo(n) Ke Liye
Kaise Haantho Ne Shaha Tere Sawaare Gesu
Uhude Paak Ki Choti Se Ulajh Le Shub Bhar
Sub’ha Hone Do Shabe Eid Ne Haare Gesu
Mujda Ho Qibla Se Ghanghor Ghataein Umdi(n)
Abruo(n) Par Woh Jhuke Jhoom Ke Baare Gesu
Taare Sheeraz-E-Majmooa-E Kounain Hein Yeh
Haal Khul Jaaye Jo Ik Dum Hon Kanare Gesu
Tel Ki Boond Tapakti Nahi Baalo(n) Se RAZA
Sub’he Aariz Pe Luta’te Hein Sitaare Gesu