Badhe Jo Kar Ke Wo Soo-e-Shah-e-Anaam Salaam Naat Lyrics by Munawwar Rana

Badhe jo kar ke wo Soo-e-Shah-e-Anaam salaam Naat Lyrics in English/Hindi/Urdu || बढ़े जो कर के वो सू-ए-शह-ए-अनाम सलाम

Badhe jo kar ke wo Soo-e-Shah-e-Anaam salaam Naat Lyrics in English/Hindi/Urdu


Badhe jo kar ke wo Soo-e-Shah-e-Anaam salaam
Sadaaein aati thin har samt se salaam salaam

Bada hujoom tha Taiba ki pehli manzil par
Khade the raah mein karne ko khaas-o-‘aam salaam

Chale Husain jo Taiba se Karbala ki taraf
Jahan pahunchte the karta tha wo maqam salaam

Jo ‘azm kar ke chale the wo Karbala pahunche
Agarche raah mein aate rahe payaam salaam

Zameen-e-manzil-e-maqsood ne qadam choome
Falak ne door se jhuk kar kaha, Imaam salaam

Ye Shaah wo jinhein sab Shaah Shaah kehte hain
Imaam wo jinhein karte hain sab Imaam salaam

Salaam-e-banda-e-‘aasi qabool ho, Shaaha!
Tumhari aal par, aulaad par mudam salaam

Unhein salaam, Munawwar! ye chahta hai ji
Tamaam umr likhun aur na ho tamaam salaam

Naat Khwan: Munawwar Rana


बढ़े जो कर के वो सू-ए-शह-ए-अनाम सलाम
सदाएँ आती थीं हर सम्त से सलाम सलाम

बड़ा हुजूम था तयबा की पहली मंज़िल पर
खड़े थे राह में करने को ख़ास-ओ-‘आम सलाम

चले हुसैन जो तयबा से कर्बला की तरफ़
जहाँ पहुँचते थे करता था वो मक़ाम सलाम

जो ‘अज़्म कर के चले थे वो कर्बला पहुँचे
अगरचे राह में आते रहे पयाम सलाम

ज़मीन-ए-मंज़िल-ए-मक़्सूद ने क़दम चूमे
फ़लक ने दूर से झुक कर कहा, इमाम सलाम

ये शाह वो जिन्हें सब शाह शाह कहते हैं
इमाम वो जिन्हें करते हैं सब इमाम सलाम

सलाम-ए-बंदा-ए-‘आसी क़बूल हो, शाहा!
तुम्हारी आल पर, औलाद पर मुमान सलाम

उन्हें सलाम, मुनव्वर! ये चाहता है जी
तमाम ‘उम्र लिखूँ और न हो तमाम सलाम

नातख़्वाँ: मुनव्वर राना


بڑھے جو کر کے وہ سوئے شہ انام سلام
صدائیں آتی تھیں ہر سمت سے سلام سلام

بڑا ہجوم تھا طیبہ کی پہلی منزل پر
کھڑے تھے راہ میں کرنے کو خاص و عام سلام

چلے حسین جو طیبہ سے کربلا کی طرف
جہاں پہنچتے تھے کرتا تھا وہ مقام سلام

جو عزم کر کے چلے تھے وہ کربلا پہنچے
اگرچہ راہ میں آتے رہے پیام سلام

زمینِ منزلِ مقصود نے قدم چومے
فلک نے دور سے جھک کر کہا، امام سلام

یہ شاہ وہ جنہیں سب شاہ شاہ کہتے ہیں
امام وہ جنہیں کرتے ہیں سب امام سلام

سلامِ بندہِ عاصی قبول ہو، شاہا!
تمہاری آل پر، اولاد پر مدام سلام

اُنہیں سلام، منوّر! یہ چاہتا ہے جی
تمام عمر لکھوں اور نہ ہو تمام سلام

نعت خواں: منوّر رانا


Qalb Aashiq Hai Ab Parah Parah Alvida Alvida Maah e Ramzan – Naat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | क़ल्ब आशिक़ है अब पारा पारा अलविदा अलविदा माह-ए-रमज़ान


Zindagi Muskurai Hai Ramzan Mein – Naat Lyrics in Roman English, Hindi & Urdu | ज़िंदगी मुस्कुराई है रमज़ान में


“Badhe Jo Kar Ke Wo Soo-e-Shah-e-Anaam Salaam” ek roohani aur adab se bhara kalam hai jo Sarkar-e-Do Aalam ﷺ ki bargah mein arz-e-salaam pesh karta hai. Is Naat ke alfaaz mohabbat, aqeedat aur adab ka khoobsurat izhar hain. Jo shakhs Nabi-e-Kareem ﷺ ki shaan mein salaam pesh karta hai, uski rooh bhi sukoon mehsoos karti hai. Badhe Jo Kar Ke Wo Soo-e-Shah-e-Anaam Salaam dil ko Madina ki yaad se roshan kar deta hai aur ishq-e-Rasool ﷺ ko aur gehra bana deta hai.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top