Aseero Ke Mushkil Kusha Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Aseero Ke Mushkil Kusha Ghous-e-aazam
Faqeeron Ke Haajat Rawaa
Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Ghira Hai Balaaon Mein Bandaa Tumhara
Madad Ke Liye Aao Ya
Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Tere Haath Mein Haath Maine Diya Hai
Tere Haath Hai Laaj Ya Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Mureedon Ko Khatra Nahin Behre Gam Se
Ke Bede Ke Hain Naakhuda Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Tumhin Dukh Suno Apne Aafat Zadon Ka
Tumhin Dard Ki Do Dawa Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Bhanwar Mein Phansa Hai Hamara Safeenah
Bachaa Ghous-e-aazam Bachaa Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Jo Dukh Bhar Rahaa Hoon Jo Gam Sah Rahaa Hun
Kahun Kis Se Tere Siwa Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Zamaane Ke Dukh Dard Ki Ranj O Gham Ki
Tere Haath Mein Hai Dawaa Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Agar Saltanat Ki Hawas Ho Faqeeron
Kaho ‘shai An Lillah’ Ya Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Nikaala Hai Pehle To Dube Huwon Ko
Aur Ab Dubton Ko Bacha Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Jise Khalq Kehti Hai Pyaara Khuda Ka
Usi Ka Hai Tu Laadla Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Phansa Hai Tabaahi Mein Beda Hamaara
Sahara Lagaa Do Zara Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Mashaaikh Jahaan Aaye Behar-e-Gadaai
Wo Hai Teri Daulat Saraa Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Meri Mushkilon Ko Bhi Aasan Kijiye
Ke Hain Aap Mushkil Kusha Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Wahan Sar Jhukaate Hain Sab Unche Unche
Jahaan Hai Tera Naqsh-E-Paa Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Qasam Hai Ke Mushkil Ko Mushkil Na Paaya
Kaha Hum Ne Jis Waqt Ya
Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Muje Apni Ulfat Mein Aisa Guma De
Na Paaon Phir Apna Pata Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Bachaalen Ghulamon Ko Majbooriyon Se
Ke Tu Abd-E-Qaadir Hai Ya Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
Kahe Kis Se Jaakar Hasan Apne Dil Ki
Sune Kon Tere Siwaa Gaus
Ghous-e-aazam
•••••••••••••••••••••••••••••••••••••••
As.ustaz-e-zaman Allama Hasan Raza Barelvi