Apne Damane Shafa’at Meiñ chhupaaye Rakhna
Mere Sarkar ﷺ Meri Baat Banaye Rakhna
Maine Mana Ke Nikamma Huñ Magar Aap ﷺ Ka Huñ
Mujh Nikamme Ko Bhi Sarkar ﷺ Nibhaaye Rakhna
Kisi Mansab Ka Talabgaar Hooñ Na Duniya Ka
Khak Hooñ Maiñ Mujhe Qadmoñ Se Lagaye Rakhna
Aapki ﷺ Yad Se Aabaad Hua Dil Mera
Banda Parwar Meri Basti Ko Basaye Rakhna
Aap ﷺ Yaad Aayeñ To Phir Yaad Na Aaye Koi
Ghair Ki Yaad Mere Dil Se Bhulaya Rakhna
Unke Ho Jao Har Ek Cheez Unhi Se Maañgo
Apne Daman Meiñ Na Ehsaan Paraaye Rakhna
Jab Sawa Neze Pe Khurshid-e Qayamat Hoga
Apni Zulfoñ Ke Gunagaar Pe Saaye Rakhna
Shayad Is Rah Se Khalid Mere Aaqa ﷺ Guzreñ
Apni Palkoñ Ko Sar-e Raah Bichhaye Rakhna