Ae shaafa’-e-umam shahe zee jaah le khabar,
Lillah le khabar meri Lillah le khabar.

Darya ka josh, naaw, na beraa na naa Khuda,
Main dooba tu kahan hay mere shaah le khabar.

Manzil kari hay raat andheri main naa balad,
Aay khidr le khabar meri aay maah le khabar.

Pohonche pohonchne waale to manzil magar shaha,
Un ki jo thak key beithe sar-e-raah le khabar.

Jangal darindo ka hay mai be yaar shab qareeb,
Ghere hain chaar samt sey badkhwaah le khabar.

Manzil nayi azeez juda log naa shanaas,
Toota hay koh-e-gham mein pare kaah le khabar.

Woh sakhtiyan sawaal ki woh sooratein muheeb,
Aay ghamzadon key haal sey aagah le khabar.

Mujrim ko baargaah-e- adalat me laaye hain,
Takta hay be kasi me teri raah le khabar.

Ahl-e-amal ko unke amal kaam aayenge,
Mera hay kaun tere siwa aah le khabar.

Pur khaar raah barhana paa tishna aab door,
Mawla pari hay aafat-e-jaan kaah le khabar.

Baahar zubanein pyaas sey hain aaftaab garam,
Kausar key shaah katharahullah le khabar.

Maana key sakht mujrim-o-naakarah hay RAZA,
Tera hi to hay banda-e-dargaah le khabar.