Bheeni Suhani Subhu Me Thandak Jigar Ki Hai
Kaliyaan Khilin Dilon Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai
Khubti Hui Nazar Mein Adaa Kis Sahar Ki Hai
Chubhti Hui Jigar Me Sadaa Kis Gajar Ki Hai
Daalein Hari Hari Hein To Baalein Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai
Hum Jaye(n) Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahe
Sou(n)pa Khuda Ko Yeh Azmat Kis Safar Ki Hai
Hum Girdey Kaa’ba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Woh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai
Kalak Jabee(n) Ki Sajdaay e Dar Se Chhudao Gey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai
Dooba Hua Hai Shouq Mein Zam Zam Aur Aankh Se
Jhaale Baras Rahey Hein Yeh Hasrat Kidhar Ki Hai
Barsa Ke Jaane Walo(n) Pe Gouhar Karu(n) Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabe Zar Ki Hai
Aagoosh e Shouq Khole Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Yeh Dhun Kidhar Ki Hai
Haan Haan Rahe Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paao(n) Rakhne Waale Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai
Waaroo(n) Qadam Qadam Pe Ki Har Dum Hai Jaane Nou
Ye Raahe Jaa(n) Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai
Ghadiya(n) Gini Hein Barso Ki Yeh Shubh Ghari firi
Mar- Mar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai
Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaake Paak
Hasrat Malai’ka Ko Jahaa(n) Wuz-e Sar Ki Hai
Me’raaj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zaairoo!
Kursi Se Onchi Kursi Usi Paak Ghar Ki Hai
Ushhaaq e Rouza Sajda Me Suye Haram Jhuke
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai
Yeh Ghar Yeh Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhda Ho Be-Gharo Ke Salaa Achche Ghar Ki Hai
Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Me
Pahlu Me Jalwa Gaah Ateeq o Umar Ki Hai
Chhaye Malaika Hein Lagaatar Hai Durood !
Badle Hein Pahre Badli Me Baarish Durar Ki Hai
Sa’dain Ka Qiraan Hai Pahlu e Maah Me
Jhurmut Kiye Hein Taare Tajalli Qamar Ki Hai
Sattar Hazaar Sub’h Me Sattar Hazaar Shaam
Yun Banda-giye Zulfo Rukh Aatho(n) Pahar Ki Hai
Jo Ek Baar Aaye Dobaara Na Ayenge
Rukhsat He Bargaah Se Bus Is Qadar Ki Hai
Tadpa Karen Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Be Hukm Kab Majaal Parinde Ko Par Ki Hai
Ey Waaye Be kasiye Tammana Ki Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shub Ko Sahar Ki Hai
Ye Badliya(n) Na Ho To Karoro(n) Ki Aas Jaye
Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai
Masoomo(n) Ko Hai Umr Me Sirf Ek Bar Bar
Aasi Pade Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai
Zinda Rahe(n) To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye(n) To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai
Muflis Aur Aise Dar Se Firey Be-Ghani Hue
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadya Gar Ki Hai
Jaana Pe Takya Khaak Nihaali Hai Dil Nihaal
Ha(n) Be-Nawao Khoob Ye Soorat Guzar Ki Hai
Hein Chatro Takht Saya e Dewaaro Khaake Dar
Shaho Ko Kab Naseeb Yeh Dhaj Karro Far Ki Hai
Iss Paak Koo Me Khaak Ye Ba sar Sar Ba Khaak Hai
Samjhe Hein Kuchh Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai
Kyo(n) Taajdaaro ! Khwaab Me Dheki Kabhi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyo(n) Me Gadayaane Dar Ki Hai
Jaaru-Kasho(n) Me Chehre Likhe Hein Mulook Ke
Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai
Taiba Me Mar Ke Thande Chaley Jaao Aankhe Bandh
Seedhi Sadak Ye Shahre Shafa’at Nagar Ki Hai
Aasi Bhi Hai Chahite Yeh Taiba Hai Zahido!
Makka Nahi Ki Jaanch Jaha(n) Khair o Shar Ki Hai
Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge
Sarkar Me Na “Laa” Hai Na Haajat” Agar” Ki Hai
Uff Be-Haya’eeiaa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor
Han Tu Kareem Hai Teri Khoo Dar Guzar Ki Hai
Tujh Se Chhupau(n) Muh To Karu(n) Kiske Saamne
Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo-aa Nazar Ki Hai
Jaaun Kaha Pukaroo(n) Kise Kiska Muh Taku(n)
Kya Pursish Aur Jaa Bhi Sage Be-Hunar Ki Hai
Baab E Ata To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Uss Nighrey Dar Badar Ki Hai
Aabaad Har Dar Hai Tera Aur Tere Siva
Jo Baargaah Dekhye Ghairat Khandar Ki Hai
Lab Wa Hein Aankhe Bund Hein Faili Hein Jholiyan
Kitne Maze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai
Ghera Andheriyn Ne Duhaai Hai Chand Ki
Tanha Hun Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai
Qismat Me Lakh Pech Hon Sou Bul Hazaar Kaj
Yeh Saari Guththi Ik Teri Sidhi Nazar Ki Hai
Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkilen Khuli
Dono Jahan Me Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai
Jannat Na De(n), Na De(n), To Karen Baat Lutf Se
Yeh Shahad Ho To Fir Kise Parwaah Shakar Ki Gai
Mein Khanzaada Kuhna Hun Soorat Likhi Hui
Bando Kaneezon Me Mere Maadar Lidar Ki Hai
Mangta Ka Haanth Uthte He Data Ki Dain Thi
Doori Qabool e Arz Me Bus Haanth Bhar Ki Hai
Sanki Woh Dekh Baade Shafa’at Ki De Hawa
Yeh Aabroo RAZA Tere Daamaane Tar Ki Hai