Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
Wo Bhi Dil Koi Dil Hai Jaha Me
Jisme Taswir E Taiba Nahi Hai
Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
Laamaka Tak Hai Teri Rasai
Geet Gaati Hai Sari Khudai
Wo Jagah Hi Nahi Hai Do Jaha Me
Jis Jagah Tera Charcha Nahi Hai
Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
Hum Hussaini Hai Karbal Ke Shaida
Dil Kabhi Bhi Na Hota Hai Maila
Kufr Ki Dhamkiyo Se Dare Jo
Aashiqo Ka Kaleja Nahi Hai
Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
Dushmane Mustafa Se Yeh Kai Do
Khair Chahe To Hum Se Na Uljhe
Hum Gulaman E Ahmed Raza Hai
Koi Bhu Hum Se Jita Nahi Hai
Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
Khaak E Paye Nabi Muh Pe Malna
Itr Ho Mustafa Ka Pasina
Unki Chaadar Ka Tukda Kafan Ho
Aur Koi Tamanna Nahi Hai
Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
Hajj Ki Daulat Jise Mil Na Paye
Jaye Jaye Wo Ghar Apne Jaye
Maa Ke Kadmo Ko Chumle Jo
Sange Aswad Ko Chuma Nahi Hai
Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
Aay Meri Maut Rukh Ja Abhi Tu
Fir Chalenge Jaha Tu Kahe Gi
Apni Aankhein Tasawwur Mein Taiba
Mene Ji Bhar Ke Dekha Nahi Hai
Mene Ji Bhar Ke Dekha Nahi Hai
Zikr E Aaqa Se Seena Saja Hai
Ishq Hai Yeh Tamasha Nahi Hai
(Sallallahu Alaihi Wasallam)