Wo Jis Ke Dil Mein Doston Ali Ka Ehtram Hai Lyrics image with Islamic spiritual background and Hazrat Ali theme

Wo jis ke dil mein doston Ali ka ehtram hai || वो जिस के दिल में दोस्तों अली का एहतिराम है

Wo jis ke dil mein doston Ali ka ehtram hai


Wo jis ke dil mein doston Ali ka ehtram hai
Yaqeenan aise shakhs ka behisht mein maqam hai

Ghadir-e-Khum pe keh diya Nabi ne yun pakar ke haath
Imam jis ka hoon main us ka yeh Ali Imam hai

Har ek raah-e-ma’rifat Ali ke dar ki hai ata
Kamaal-e-qurb aap ke bagair na tamam hai

Mere labon par wardi hai Ali Ali Ali Ali
Na khauf dil mein hai mere na dar ka koi naam hai

Umar se, Yaar-e-Ghar se, Janab-e-Zunnoorain se
Ali ki saari zindagi wafaaon ka paigham hai

Rawa hain chashmein hikmaton ke ek ek lafz mein
Ali Zahoor Sahib-e-Jawaami’ul-Kalaam hai

Nigah-e-lutf se mujhe hamesha rakhiye faizyaab
Mushahid aap ka Huzoor azal se hi ghulam hai

By: Muhammad Husain Mushahid Razvi


वो जिस के दिल में दोस्तों अली का एहतिराम है
यक़ीनन ऐसे शख़्स का बहिश्त में मुक़ाम है

ग़दीर-ए-ख़ुम पे कह दिया नबी ने यूँ पकड़ के हाथ
इमाम जिस का हूँ मैं, उस का ये अली इमाम है

हर एक राह-ए-मआरिफ़त अली के दर की है अता
कमाल-ए-क़ुर्ब आप के बग़ैर ना तमाम है

मेरे लबों पर विर्द है अली अली अली अली
ना ख़ौफ़ दिल में है मेरे, ना डर का कोई नाम है

उमर से, यार-ए-ग़ार से, जनाब-ए-ज़ुन्नूरैन से
अली की सारी ज़िंदगी वफ़ाओं का पैग़ाम है

रवां हैं चश्में हिकमतों के एक एक लफ़्ज़ में
अली ज़हूर साहिब-ए-जवामे-उल-कलाम है

निगाह-ए-लुत्फ़ से मुझे हमेशा रखिए फ़ैज़याब
मुशाहिद, आप का हुज़ूर अज़ल से ही ग़ुलाम है

मोहम्मद हुसैन मुशाहिद रज़वी


وہ جس کے دل میں دوستوں علی کا احترام ہے
یقیناً ایسے شخص کا بہشت میں مقام ہے

غدیر خم پہ کہ دیا نبی نے یوں پکڑ کے ہاتھ
امام جس کا ہوں میں اس کا یہ علی امام ہے

ہر ایک راہ معرفت علی کے در کی ہے عطا
کمال قرب آپ کے بغیر نا تمام ہے

میرے لبوں پر ورد ہے علی علی علی علی
نہ خوف دل میں ہے میرے نہ ڈر کا کوئی نام ہے

عمر سے یار غار سے جناب ذوالنورین سے
علی کی ساری زندگی وفاؤں کا پیام ہے

رواں ہیں چشمیں حکمتوں کے ایک ایک لفظ میں
علی ظہور صاحب جوامع الکلام ہے

نگاہ لطف سے مجھے ہمیشہ رکھیئے فیض یاب
مشاہد آپ کا حضور ازل سے ہی غلام ہے
از: محمد حسین مشاہد رضوی


Sabeel e Ishq Ki Sab Ronaqein Ali Se Hain || सबीले इश्क की सब रौनकें अली से हैं


Jihad E Haq K Alamdaar Sayyed E Salaar || जिहाद-ए-हक के अलमदार सैय्यद-ए-सालार


“Wo Jis Ke Dil Mein Doston Ali Ka Ehtram Hai Lyrics” is a beautiful manqabat expressing love, respect, and devotion for Ali ibn Abi Talib. These Wo Jis Ke Dil Mein Doston Ali Ka Ehtram Hai Lyrics highlight the importance of honoring Hazrat Ali in the heart of every believer. The Wo Jis Ke Dil Mein Doston Ali Ka Ehtram Hai Lyrics inspire faith, respect, and spiritual connection with the noble family of Islam.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top