Dil Mein Ali Ki Yaad Hai Lab Par Ali Ka Naam – Manqabat Lyrics in Roman English
Dil mein Ali ki yaad hai lab par Ali ka naam
Andar Ali ka naam hai baahar Ali ka naam
Aaseeb phir dobaara na aayega bhool kar
Dam ek baar kijiye padh kar Ali ka naam
Shak ho to kainaat ka le lijiye jaiza
Ghar ghar Ali ka zikr hai ghar ghar Ali ka naam
Hai jis ke dil mein hubb e Ameer e Muawiya
Chamkaayega usi ka muqaddar Ali ka naam
Dehshat ke maare aaj bhi hota hai badhawaas
Sunta hai jab bhi zulm ka lashkar Ali ka naam
Ho gharq woh safeena yeh mumkin nahin kabhi
La raib likha hota hai jis par Ali ka naam
Behtar yeh hai tahaffuz e imaan pe dein dhyaan
Jo log aaj chirhte hain sun kar Ali ka naam
Ae bad-dimaagh kya tujhe yeh bhi nahin khabar
Lete hain pyaar se Shah e Kausar Ali ka naam
Kaise palat palat ke na karte adu pe waar
Bint e Asad ne rakha hai Haidar Ali ka naam
Jaate rahenge khuld mein shaidaaye Panjtan
Deta rahega khuld ka offer Ali ka naam
Dil ko sukoon milta hai kitna main kya kahun
Main jab bhi dil se leta hoon Gauhar Ali ka naam
Poet (Shayar): Mehboob Gauhar Islampuri
दिल में अली की याद है लब पर अली का नाम
अंदर अली का नाम है बाहर अली का नाम
आसीब फिर दोबारा न आएगा भूल कर
दम एक बार कीजिए पढ़ कर अली का नाम
शक हो तो कायनात का ले लीजिए जायज़ा
घर घर अली का ज़िक्र है घर घर अली का नाम
है जिस के दिल में हुब्ब-ए-अमीर-ए-मुआविया
चमकाएगा उसी का मुक़द्दर अली का नाम
दहशत के मारे आज भी होता है बदहवास
सुनता है जब भी ज़ुल्म का लश्कर अली का नाम
हो ग़र्क वो सफ़ीना ये मुमकिन नहीं कभी
ला रैब लिखा होता है जिस पर अली का नाम
बेहतर ये है तहफ़्फ़ुज़-ए-ईमान पे दें ध्यान
जो लोग आज चिढ़ते हैं सुन कर अली का नाम
ऐ बददिमाग़ क्या तुझे ये भी नहीं ख़बर
लेते हैं प्यार से शाह-ए-कौसर अली का नाम
कैसे पलट पलट के न करते अदू पे वार
बिन्त-ए-असद ने रखा है हैदर अली का नाम
जाते रहेंगे ख़ुल्द में शैदाए-पंजतन
देता रहेगा ख़ुल्द का ऑफ़र अली का नाम
दिल को सुकून मिलता है कितना मैं क्या कहूँ
मैं जब भी दिल से लेता हूँ गौहर अली का नाम
शायर: महबूब गौहर इस्लामपुरी
دل میں علیؑ کی یاد ہے لب پر علیؑ کا نام
اندر علیؑ کا نام ہے باہر علیؑ کا نام
آسیب پھر دوبارہ نہ آئے گا بھول کر
دم ایک بار کیجئے پڑھ کر علیؑ کا نام
شک ہو تو کائنات کا لے لیجیے جائزہ
گھر گھر علیؑ کا ذکر ہے گھر گھر علیؑ کا نام
ہے جس کے دل میں حُبِ امیرِ معاویہؓ
چمکاۓ گا اسی کا مقدر علیؑ کا نام
دہشت کے مارے آج بھی ہوتا ہے بدحواس
سنتا ہے جب بھی ظلم کا لشکر علیؑ کا نام
ہو غرق وہ سفینہ یہ ممکن نہیں کبھی
لاریب! لکھا ہوتا ہے جس پر علیؑ کا نام
بہتر یہ ہے تحفظِ ایماں پہ دیں دھیان
جو لوگ آج چِڑھتے ہیں سُن کر علیؑ کا نام
اے بددماغ! کیا تجھے یہ بھی نہیں خبر
لیتے ہیں پیار سے شہِ کوثر علیؑ کا نام
کیسے پلٹ پلٹ کے نہ کرتے عدو پہ وار
بنتِ اسدؑ نے رکھا ہے حیدر علیؑ کا نام
جاتے رہیں گے خلد میں شیدائے پنجتنؑ
دیتا رہے گا خلد کا آفر، علیؑ کا نام
دل کو سکون ملتا ہے کتنا میں کیا کہوں
میں جب بھی دل سے لیتا ہوں گوہر، علیؑ کا نام
شاعر: محبوب گوہر اسلام پوری
Dil Mein Ali Ki Yaad Hai Lab Par Ali Ka Naam is a deeply spiritual and emotionally uplifting Manqabat that beautifully expresses unwavering love and remembrance of Hazrat Ali رضي الله عنه. Through heartfelt poetry, Dil Mein Ali Ki Yaad Hai Lab Par Ali Ka Naam reflects the inner peace, strength, and faith that believers feel by keeping the name of Maula Ali alive in their hearts. This inspiring kalam highlights devotion, courage, and the blessings of spiritual attachment with the noble Ahl-e-Bait. The soulful verses of Dil Mein Ali Ki Yaad Hai Lab Par Ali Ka Naam encourage steadfastness during hardships and strengthen trust in divine mercy. Every line of Dil Mein Ali Ki Yaad Hai Lab Par Ali Ka Naam carries a message of faith, love, and spiritual identity.




